*ASHOORAH ME KHARCH ME WUS'AT KI RIWAYAT PAR SHUBE KA JAWAB*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1490⭕
Ashoorah ke din apne ahlo ayaal par dastarkhvan kushadah karna chahiye yeh riwayat muatabar hai?
Kyun ke ek taraf to achchha khilane ki targeeb hai aur dusri taraf sahih riwayat se us din rozah rakhna saabit hai to rozah me achchha khaana kaise khilayenge?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Is riwayat ke alfaz yeh hain.
من وسع. یوم عاشورہ فی نفقتہ علی عیالہ وسع اللہ سائر سنتہ"
Jis me aashoorah ke din apne ayaal (bivi bachcho par kharch me wus'at (kuchh ziyadah kharch) kiya Allah poore saal us par wus'at karega)
Is riwayat me kahin bhi dastarkhvan ka ya khaana khilane ka khaas zikr nahin hai, balke nafqa ya'ani mutlaq kharch ka zikr hai nafqa me Bivi bachchon ko naqad paise dena, khaane, pine, kapde, dawai wagairah zaruri tamaam chizen dakhil hain, aur iftari ke liye jitni bhi cheez kharidenge uska kharch to din hi me ho jayega aur aashoorah magrib baad hi shurua ho jaata hai to raat ko ya sahri me achchha khaana bhi khilaya jaye to bhi rozah ke saath koi takrav na raha,
Lihaza jab rozah rakhne aur wus'at karne me tatbeeq (jod) mumkin hai isliye takrav ko daleel banakar riwayat ko mavzua (manghadat) kehna sahih nahin hai.
📘Alaamah abdeen shami farmate hai Hafiz ibne hajar aur allamah siyooti Rahmatullahi alayhima ne is riwayat saabit aur sahih qarar diya hai.
Hazrat jabir Radiyallahu anhu ne, sufyan ibne auyayna ne 50 saal, ibne habeeb ahad maliki ne wagairah buzrogon ka is din kharch karne se poore saal ki wus'at ka saalo saal tajrabah kiya hai.
📘Allama saawi maliki ne apne hashye sharhus sageer
me charon mazhab ke imamon ka is dn ahlo ayaal par kharch karne ko mustahab hon naqal kiya hai.
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : MUHARRAMUL HARAAM1440 HIJRI
✍🏻MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON HANAFI CHISTI.
🕌 USTAAD E DAARUL ULOOM RAMPURA SURAT, GUJARAT, INDIA.
📲💻
*اَلْحَمْدُلِلّهِ NAYI WEB SITE*
FACEBOOK:
HTTPS://GOO.GL/QGZ9XJ
TWITTER:
HTTPS://GOO.GL/SZHIJ4
GOOGLE+:
HTTPS://GOO.GL/HP6Z4K
YOUTUBE:
HTTPS://GOO.GL/1HSJKQ
🌍 WWW.AAJKASAWAL.IN
TELEGRAM CHANNEL :
HTTPS://T.ME/AAJKASAWALJAWAB
No comments:
Post a Comment