🍲 *KHICHDE KA CHANDA AUR KOI KHICHDA BHEJE TO?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1489
Aashoorah ke din khichda pakane walon ko chanda dena aur chanda wasool karna kaisa hai ?
Khichda hum na pakaye aur kahin se aa jaye to le sakte ya nahin ?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Huboob ya'ani Nooh علیہ السلام ke khichda pakaane ki is riwayat ko raeesul muhaddiseen barelvi aur devbandi dono hazrat ke bade aur qabile aitimad shakhsiyyat Hazrat Shah Abdul Haq muhaddise dahelvi rahmatullahi alayhi ne mavzooa banawati qarar diya hai. jaisa ke is se pehle ke sawal me guzar chuka.
📗(maa sabat minas sunnah safa 16/f)
Lihaza is ko sawab samajh kar banana bid'at aur na-jaiz hai. is me jaani ya maali hissah lena bhi durust nahin, mashhoor kitab *'al bidayah wa nihayah'* tareekh (itihas, history) ki paaye ki aham purani kitab hai, jise barelvi ulamaa bhi mante hain, us me saaf likha hai ke khichda pakana, us din khushi manana kharjiyon (ahle bait-khandane Nabi Salallahu Alayhi Wasallam ke dushmano) ka shiaar (khas tareeqah) hai
📕 al bidayah wan nihayah 8/203
Agar ghar par koi khichda bheje to usey lena bhi na chahiye, taake bidat aur rasm par tambeeh ho sake, aur pakane walon ki islah ho.
📗Kifayatul mufti 1/226
📕Bahishti zewar 6/61
📘Deenee masail aur un ka hal safa 85,86 se makhooz.
Hazrat Mufti Salman mansoor puri d.b.ki kitab.
و اللہ اعلم بالصواب
📆ISLAMI TAARIKH 8 MUHARRAM 1440
✒Mufti Imran Ismail Memon Sahab
🕌Ustad e Darul Uloom Rampura Surat Gujarat India
📲
http://aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment