Wednesday, January 10, 2018

ZUBAN SE IQRAR (QUBUL KARNA) SHART HAI

*ZUBAN SE IQRAR (QUBUL KARNA) SHART HAI*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1230⭕

Ek shakhs is niyyat se ghar se chala ke kisi aalim ke haath par islam qubul karunga aur raste me hi us ka intiqal ho gaya to use momin samjha jayega ya kafir?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar us aadmi ne kisi ke samne apne musalman hone ka iqrar kiya tha to use musalman samjha jayega aur islam ke ahkam (namaze janazah wagairah) us par jaari honge, agar kisi ke samne zuban se iqrar nahin kiya tha balke uska islam dil hi dil me raha to use duniyavi ahkam me musalman nahin samjha jayega.

📗 AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL 1/44

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...