Sunday, January 21, 2018

GIRWI (CHIZ) SE FAIDAH UTHANA

*GIRWI (CHIZ) SE FAIDAH UTHANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1242⭕

A.
Ba'az log bataure qarz dusron ko paise dete hain aur wasooli ko yaqeeni banane ke liye itminan dilane ke waste koi chiz apne paas bataure rahan (girwi) rakhte hain to jis cheez ko rahan (girwi) rakha gaya hai usse faidah utha sakta hain? woh girwi cheez ka malik qarz denewale ko isteamal ki ijazat bhi deta hai.

B.
Agar isteamal karte huve woh cheez halaak (barbaad) ho gayi to uska zaamin zimmedar kon?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

A.
Puchhi huyi surat me rahan (girwi) rakhi cheez se qarz denewale ko kisi bhi qism ka faidah uthhana ya isteamal karna udhar lenewa maalik khushi se saaf saaf ijazat de to bhi na-jaiz aur sood hai

B.
Agar isteamal karne ki wajah se zayea (barbaad) ho gayi to isteamal karne wala uski qeemat ka zaamin hoga ya'ani uski qeemat uske zimme aayegi.

و الله اعلم بالصواب

AHAM MASAIL SAFA
BAHAWA F. MAHMOODIYSH 20/125
AHSANUL FATAWA 8/498

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...