TETU LAGANA
⭕AAJ KA SAWAL NO.1247⭕
Tetu lagana kaisa hai?
Ya'ani aisa naqsh (design) wala paper aata hai jisko jism ke kisi bhi hisse me chipa kar thodi der baad nikal liya jaye to uski design wahaan ban jaati hai iska isteamal kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Hadees me gudwane (surmah ya sing ko garam siyahi ke zariye jisme bhar kar aisi design karna jo nikal na sake) ki saaf mumaniat (mana) hona aaya hai is ko shaitan ki kitabat (writing) kahaa gaya hai.
Tetu se agarche jism ke andar us naqsh (design) ka asar nahi jata balke jism ke upar hi chipak jaata hai lekin yeh bhi gudwane ke mushsbeh (copy) ho gaya lihaza is ki bhi ijazat nahi
و الله اعلم بالصواب
📗FATAWA QASMIYAH 23/510
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment