*CHORI KI BIJLI SE PAKAYE HUVE KHANE WAGAIRAH KA HUKM*
⭕AAJ. KA SAWAL NO. 1232⭕
Bijli ki chori karke usse pakaye Huwe khana khana, usse khincha huva paani peena ya wuzu karna, Isee tarah usse press kiye huve kapde pehanna kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Gunah ka kam karna, chahe woh akhlaq ki line se ho ya kaanuni line se,
Musalman ki shaan ke khilaf hai, aur Musalman ko aisa kaam nahi karna chahiye, Isliye ke har amal ka Allah ke yahaan jawab dena padega.
Fir bhi koyi aadmi bijli ki chori kare, aur usse paani khinche, To uski wajah se paani na-paak ya haraam nahin ho jaata hai, Isliye woh paani pina jaiz aur durust hai.
Isee tarah press kiye huve kapde pahanna wagerah jaiz aur durust hai.
Yahi hukm har chiz par aayega.
Chori ka gunah alag muamlah hai.
*Mustafad:*
📚 Fatawa Deeniyah: 4/290
📚 Kitab-Un-Nawazil: 12/621
✍(Mufti) Bande ilahi Qureshi Gandevi
❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊❊
No comments:
Post a Comment