Saturday, January 20, 2018

ALLAH KA ARSH PAR HONE WAGAIRAH KE BARE ME AQEEDA

*ALLAH KA ARSH PAR HONE WAGAIRAH KE BARE ME AQEEDA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1241⭕

Kya kehte ahle sunnat dewbandi ulạmaa Allah ta'ala ke is qism ke qaul ke Rahman arsh par mustawi huwa -betha, Allah ka hath wagairah insani amal aur aazaa ke bare me ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

is qism ki aayat me hamara mazhab ye hai ke, in par iman late hain, aur kefiyat se bahas nahi karte, yaqeeni taur par jante hai ke Allah Taala makhlooq ke awsaaf (uthna bethna chalna firna wagairah) awsaaf se paak hai, yani Allah arsh par bethna to mante hai lekin woh kis tarah bethte hai bethne ke liye jism chahiye Allah jism se paak hai, lihaza bethne ka kya treeqah aur us ki kya haalat hoti hai us se ham bahas nahi karte, jis tarah Allah ki shan ke munasib hai bethte hai. ye hamare mutaqaddimeen (chhathhi sadi tak ke ulamaa) ki raay hai
aur hamare mutakhkhireen ne un alfaz ki saheeh lugat- dictionary (mayne) ko dekhte huwe us ki taweel -munasib matlab nikala hai, take kam samjh rakhne wale log bhi samjh sake, aur yun kaha ke arsh par bethne se muraad Allah ka gaalib aana hai aur Allah ka hath se muraad us ki madad hai, Allah ke chahre se muraad us ki izzat hai, ye mayne bhi saheeh hai lekin Allah ke liye jaga, simt disha sur makaan thehraana saheeh nahi, Allah in khatm ho jani wali cheezon se paak hai

📘AQAIDE ULAMAA E DEWBAND SAFA 18

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...