Monday, January 15, 2018

AGALE JANAM KI BATEN KARNA

*AGALE JANAM KI BATEN KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1235⭕

Baaz log kehte hain ke agar kisi ki maut be waqt achanak aati hai to uski rooh bhatakti rehti hai aur jise chahti hai preshan karti hai

Aur baaz logon ko woh rooh nazar bhi aati hai aur baaz insan me aakar agle janam ki baten bhi karti hai to kya yah baat sahih hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Yeh baate bilkul galat aur be bunyad hain farishton ke shikanje se woh kahaan bachne wala hai ke kahin jaa sake ya apni manchahi kar sake.

Insani dimagi taaqt jab kamzor ho jaati hai ya khatm ho jaati hai tab usko tarah tarah ke fuzool aur aql me na aane wale ajeebo gareeb khayalat satate hain aur darane wale manzar nazar aate hain aise wahamo ka shikar ho kar woh insan shakki aur wahmila ban jaata hai usko sachcha samjhkar darta hai, gabhrata hai,

Magar haqiqat me uski koyi asal nahin hoti,  khaaskar jab ke jahalat ho, galat aqeede ya gair islami khayalaat ho to surate haal aur ziyadah nazook hoti hai

Lihaza jo agale janam ki baaten karte hain ya jin ko rooh (aatma) nazar aati hai, woh haqiqat me jinnat wa shayateen hote hain rooh -aatma ke satane ki baat sarasar galat, manghadat aur be asal hai,

Unko apne dimag ki doctari janch karwa kar munasib ilaaj karwana chahiye ya kisi buzrug se taweez liya jaaye, dua karvayi jaaye.

و الله اعلم بالصواب

📗FATAWA BISMILLAH 2/318 se 319

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...