🎈 *UTRAN (UTTARAYAN, MAKAR SAKRANTI) KE DIN KHANA BECHNA* 🍜
⭕AAJ KA SAWAL NO.1227⭕
khaas Utraan (patang ke gairon tahavaar) ke din masjide aur madarasah ki aamdani ke liye khana bechna aur un paison ko masjid, madrasah me isteamal karna kaisa hai?
🔵JAWAB🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Utraan ke din ka khana becha jayega to is me khareedar har qism ke log honge tehwar manane wale bhi honge aur tehwar na manane wale bhi honge.
rahi baat yeh ke us khane ko kha kar patang udana, gana sunna wagairah gunahon ke kaam karenge to yeh unke apne a'amal hain, khana bechne wale iske zimmedar nahin hain, isliye us din khana bechne ko na-jaiz ya haraam nahin kahenge.
Fir bhi usee din khana bechne me unki us din ki ziyafaton-partiyon (jo khurafat se bhari hoti hain) ki hoslaa afzayi hoti hai aur unki Ronaq me izafa hota hai aur paison ko deeni kaam me isteamal karna hai lihaza us din in logon ko target banakar khana bechna imani hamiyyat aur gairat ke khilaf hai, lihaza is se parhez karna behtar hai.
📗FATAWA RAHEEMIYAH 9/195 KARANCHI SE MAKHOOZ
✏IMRAN ISMAIL MEMON ALLAH UN KI AUR UN KE GHARWALON KI MAGFIRAT FARMAYEN
MUDARRISE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment