Saturday, January 6, 2018

NIYAZ KARNE KA JAIZ TAREEQAH

*NIYAZ KARNE KA JAIZ TAREEQAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1226⭕

A.
Giyahrvi ki niyaz ham din aur cheez muqarrar kare bagair karte hai lekin naam gyarahvi ki niyaz ka hi rakhte hai to aisa kar sakte hain?

B.
Niyaz ka jaiz tariqah kya hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Naam wohi rakhne me awam ke aqaid bigadne ka khatrah hai aur khaas log rakhe to un ki wajah se awam ke aqaid bigadne ka andesha hai, warna aise mubah-jaiz kaam se kon manaa karega.

B.
Niyaz karne ka jaiz tariqah yeh hai ke Niyaz din, tareekh, aur cheez muqarar kiye bagair ki jaye aur khilane hi ko zaruri na samjha jaye balke kachcha galla-anaj, kapade, naqad (cash) paise wagairah kisi bhi cheez se isale sawab kar sakte hain aur usme sirf gareebon ko den, maaldaron aur ghar walon ko na den na uska e'alan kare na khane ki cheez samne rakh kar kuchh padhe aur pirane peer ko mahaz is niyyat se isale sawab kare ke unhone hame deen ka sidha rasta bataya ke kitabon me likh kar bhi diya unka ham par ehsan hai, na unki madad milne ki niyyat kare na uski barakat se maal awlad me barakat hone ki niyyat kare mahaz isale sawab ke zariye unka darajah buland hone ki niyyat kare.

📗IMDADUL FATAWA 5/302

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...