Wednesday, January 17, 2018

PARWARISH KA HAQ

*PARWARISH KA HAQ*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1237⭕
Miya bivi me talaaq ho gayi ya judai ho gai to god me Bachche ho uski parwarish ka haq kis ko hai ?
Maa apni marzi se rakhe to kharcha kis ke zimme hai?

🔵JAWAB🔵

Agar ladka hai to uski parwarish ka haq 7 saal tak maa ko hai agar ladki hai to ladki ki parwarish ka haq 9 saal tak maa ko hai usse pehle maa se chhin nahi sakta uske baad zabardasti bhi le sakta hai aur parwarish ka saara kharcha baap  hee ko dena padega.

Agar maa parwarish na kare to bachcha baap ko lena padega maa ko zabardasti nahin kar sakta.

📗DARSI BAHISHTI ZEWAR SAFA 400,401

✏IMRAN ISMAIL MEMON GUFIRAH LAHOO
USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA
📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe
www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...