Sunday, January 28, 2018

ANNIVERSARY  (SHADI KI SAALGIRAH) MANANA

*ANNIVERSARY  (SHADI KI SAALGIRAH) MANANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1248⭕

Shadi ki saalgirah manana ya'ani us din bivi ko lekar sero tafreeh ke liye jana, kisi hotel me dinner khana khana, ek dusre ko gift dena yeh kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Sero tafreeh karna, hotel me khana, hadiyah lena dena yeh cheezen mubah (jaiz) hain lekin musalamano me Anniversary manane ka yeh riwaj gumrah qaum ki taqleed (pairwi) se huva hai

Ibadat jaisi cheezon me bhi hame gair qaum se mushabahat ikhtiyar karna manaa hai to in rasmo riwaj me gairon ka tariqah ikhtiyar karne ki kaise ijazat dee jaa sakti hai?

Lihaza is se bachna chahiye.

📗AHAM MASAIL JILD 5 SAFA 243

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

*Download Our App*
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...