Monday, January 22, 2018

GELETIN ISTEAMAL KARNA

*GELETIN ISTEAMAL KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1243⭕

Magribi mulkon me aise khamire aur geletin milti hain jin me khinzir (suwwar, pig) se haasil kiya huva maaddah khaas zarraat, matter thodi ya ziyadah miqdaar me zarur shamil hota hai kya aise khamire ya geletin ka isteamal shar'an jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Agar khinzir se hasil kiye huve maaddah- asal zarraat-matter ki haqiqat aur mahiyat -us ki asal sifaten jaise ke chiknahat, badboo wagairah kimyawi amal-proces ke zariye bilkul badal chuki ho to us surat me uski najasat aur hurmat k hukm khatm ho jayega aur agar us ki haqiqat aur maahiyat-bunyadi sifaten nahin badali to fir woh maaddah-hissa na-paak aur haraam hai (aur jis cheez me woh maaddah-asal-magz- matter shamil hoga woh bhi haraam hogi)

📗JADEED FIQHI MASAIL AUR UN KA HAL SAFA 45

🖋SHAIKHUL ISLAM HAZARAT MUFTI TAQI USMSNI D. B.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...