*NAJAAT KE LIYE RISALAT PAR PURA IMAN SHART*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1229⭕
Jo shakhs Allah ko maane aur Huzur Salallahu Alayhi Wasallam ko aakhri nabi na maane jaise ke yahoodi, nasara (Christian), qadiyani aur ba'az hindu unki najaat hogi ya nahin?
Kyun ke hadees me aata hai ke jiske dil me raay ke dane ke barabar bhi iman hoga woh jannat me jayega
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Hamesha ki najaat ke liye iman shart hai aur kufr aur shirk ka gunah muaaf nahin hoga Huzoor Salallahu Alayhi Wasallam ke nabi hone aur aakhri nabi hone ki shahadat (gawahi) khud Allah ne di hai to Allah ta'ala ko sahih taur par maanna usi waqt kahaa jayega jab Allah ki gawahi ko maane jo Huzur Salallahu Alayhi Wasallam ko aakhri nabi nahin maanta un par iman nahin laata woh Allah ki gawahi ko jhuthhlata hai aur inkar karta hai aisa aadmi Allah ko manne wala nahi jannat me jaane ke liye Huzur Salallahu Alayhi Wasallam ko maanna aur unke deen ko qubul karna zaruri hai, wohi musalman hai gair muslim ki najaat nahin hogi.
📗AAP KE MASAIL AUR UN KA HAL JILD 1 SAFA 43
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment