*MUKHTALIF HALATON ME NIKAH KE MUKHTALIF HUKM*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1231⭕
nikah karna kab farz,wajib, sunnat,haraam aur makrooh hota hai?
🔵JAWAB🔵
*Farz*
Kisi shakhs per Shahwat ka is qadar galba ho ke agar Nikaah na kare to zarur zinakari-badkari me mubtala ho ja’ega,
Aur usko baqadre zarurat nafqa-kharcha aur Mahar per haqeeqatan-naqad ya hukman-udhar qudrat bhi haasil he,
Shar’an us per Farz he k Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat karen
*Wajib*
Agar kisi per Shahwat ka galba hai ke Shaadi na kare to zina me mubtila hone ka khof he, lekin yaqeen nahi,
Aur usko bivi ke naan v nafqa per qudrat bhi haasil he,
aese shakhs per Shaadi karke apni ismat-pakdamani ki hifazat karna wajib hai
*Sunnat*
Agar koi shakhs Nikaah ke qabil ho gaya, Naan nafqa-kharche per qudrat haasil he aur hambistari per bhi qudrat he, Nikaah se koi aur shara’i rukawat mojood nahi, aese shakhs ke liye Nikaah karke baa izzat zindgi guzaarna shar’an masnoon he,
Kyuki ye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka daa’imi-hameshgi ka amal he,
Aur Shaadi se Eraaz karne walo-Dhayan na denewalon per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne nafrat ka izhaar farmaya,
lihaza aesa shakhs itteba e sunnat ki niyat se apni ismat ki hifazat aur Saalih aulaad ke husool ki niyat se Shaadi kare to ajro sawab Hoga
*Haraam*
Agar kisi shakhs me Bivi ke huqooq adaa karne ki taaqat na ho,
maslan naa mard he, ya naan nafqa per haqeeqatan ya hukman qaadir nahi,neez mizaaj ki sakhti jis se bivi par zulm karega vagera
Kisi vajah se usko yaqeen he ke Bivi ke huqooq adaa nahi ho sakenge,
To aese shakhs ke liye nikah karna haraam hai
*Makrooh Tehrimi*
Jis shakhs ko Bivi per zulm ka yaqeen to na ho lekin galib gumaan yahi he k zulm ho ja’ega,
To aese shakhs ke liye jab tak ada e huqooq per qudrat na ho Nikaah karna makrooh Tehrimi hai
📗IZDUWAJI ZINDAGI KE SHAREE MASAIL
📘DURRE MUKHTAR 7/3
✏HAQ KA DAI ANSAR AHMAD
®✅TASHEEH TASHEEL WA TASDEEQ
(MUFTI)IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
📱Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe www.aajkasawal.page.tl
No comments:
Post a Comment