*OPERATION KARVANA KAB JAIZ?*
⭕AAJ KA SAWAL NO.942 ⭕
A.
Meri bivi lambi muddat se bimari me mubtalaa hai jiski wajah se kamzor aur kam taaqat hai koi kaam nahin ho sakta. 6 ,7 saal se yeh haalat hai.
ilaj muaalaj ke bawajood koi farq nahin is haalat me hamal ke dinon me tabiyat kharaab rehti hai.kamzori me mazeed izafa ho jata hai aisi haalat me operation karvana jaiz hai ya nahin?
Doctor aur hakeem kehte hain ke tum operation nahin karvaoge to tabiyat aisi hee rahegi lihaza kya kiya jaye?
B.
Mere dost ke 3 bachche seasor se aaye hain unko bhi doctor ne bola hai operation karana zarooree hai chautha bachcha ab agar aap ki bivi se paida hoga to us ki jaan ko khatrah hai
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
A.B.
Jab kamzori aur tabiyat ki kharabi ki wajah se Ya seasor ki wajah se hamal ko baaqi rakhna mushkil hai hamal bardasht nahin ho sakta to sab se pehle aisa ilaaj kiya jawe jis se hamal na thehre aur dawai hoti rahe fir agar ye waqti tadbeer- idea mufeed sabit na ho to akheeree darajah me musalman ,deendar mahir hakeem ya musalman deendar tajarbahkar doctor ke kehne ke mutabiq operation karvana jaiz hai is baare me gair muslim hakeem ya doctor kai salaah-mashwarah ke aetibar nahin hai.
📗FATAWA RAHEEMIYAH 10/181 KARANCHI
📘FATAWA QASMIYAH 23/266
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment