Saturday, March 18, 2017

SHAREE WA GAIR SHARAEE HALAALAH

*SHAREE WA GAIR SHARAEE HALAALAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 953 ⭕

kisi ne apni bivi ko teen talaq de dee, fir woh usey apne nikaah me dobarah lana chahta hai, to us ki jaiz shakal kiya hai?

na jaiz shakal bhi bataye taake us se bacha jaye.

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

puchhi hui surat me Aap ki bivi talaq ki iddat
(Agar haiz- masik aata ho to 3 haiz,
badi umar hone ki wajha se na aata ho to tin mahine,
Agar hamal ho to waz e Hamal yaane bachcha paida hone ke zariye khatm hone ke baad)
apni marzi aur pasand se kisi shakhs se talaq de dene ki shart kiye bagair kam se kam do gawah ki mavjoodgi me nikah kare aur woh hone wala dusra shohar us ka mahar jo shar'an wajib hai adaa kare, fir woh shohar chahe to use apne nikah me hamesha ke liye rakh le ya woh shohar apni marzi se kisi wajha se talaq de, ya us ka intiqal ho jaye to is dusre shohar ki iddat puri hone ke baad ye aurat apne pehle shohar se nikah karna chahe to us ke liye sharaee taur par halaal hai, isee ko sharaee halalah kehte hai.

aur is ki Na jaiz surat ye hai ke
kisi ke sath us talaq dee hui aurat ka nikah is shart par kiya jaye ke is se hambistari (suhbat) karne ke baad ya ek do din rakhne ke baad talaq de dena, aesa nikah karne aur karane wale par hadees shareef me la'anat (fitkaar-bad duaa) aayee hai

(Mishkat 284 aelaus sunan 11/216)

Balke aese halaalah karne walon ko Huzoor صل اللہ علیہ وسلم SALALLAHU ALAYHE WASALLAM ne maanga huwa bakra kaha hai
(Rawi uqbah ibne aamir  ibne majah 139)

Aese shartiyah halale ke barey me hazrat umar ibne nafia رضی اللہ عنہ farmate hai ke ham usey huzoor صل اللہ علیہ وسلم ke daur me khuli zinakari (badkari) shumar karte the
(Nasbur rayah 3/240)

lihaza aesa halaalah karaana haram hai, aesa halalah karne aur karane walo ne islam ko badnaam kiya hai, warna islam aese halaalah ki ijazat nahi deta.

📗FATAWA MAHMOODIYAH 15/655,657
📘AHSANUL FATAWA 5/154

  📕FATAWA RAHEEMIYAH 399,402/8 KARANCHI

و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

*JOIN Telegram Channel*

Telegram.me/Aajkasawal

*Daily Visit Our Website:*

https://IslamicGrp.weebly.com

*Like Our Facebook Page:*

http://facebook.com/IslamicGroup0

*Download Our Android App:*

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...