Monday, March 6, 2017

NASBANDI KARVANA YA OPERATION KARVANA

*NASBANDI KARVANA YA OPERATION KARVANA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.941 ⭕

Mere char bachche hain aur meri bivi kamzor ho gai hai hamal thaharta hai to uske pair ful jate hain aur poore jism me sujan aa jati hai sans bahot fulne lagta hai aisa lagta ke kahin jaan na nikal jaaye.
Doctors ka mashwarah hai ke me nasbandi kara lun ya bivi ko bachchah paida na ho uska operation kara diya jaye to kya shar`an aisa karna jaiz hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Nasal badhane silsilah kisi bhi tareeqah se hamesha ke liye khatm kar dena Allah ki neamat ki na shukri aur na qadri hai is par Qur'an wa hadees me bahot hi sakht waeeden aayi hain sawal me bayan ki hui bimariyan aur taklifen Hamal ki halat me hona nayi cheez nahin hai iske ilaj ki fikr karni chahiye aur jab tak ilaj mukammal na ho tab tak majburi ke darajah me hamal ko rokne wali dawiyan aur tadbeeren ikhtiyar karne ki gunjaish hai iske alawah bachche paida karne ka silsila nasbandi ya hamal ke operation ke zariyah hamesha ke liye khatm karna haraam hai is ki bilkul ijazat nahi.

📒fatawa qasmiyah 23/262
Bahawalah

📕Ahsanul fatawa 8/347

📗imdadul muftiyeen 9;75

📕imadadul fatawa  4/203

📙fatawa raheemiyah karanchi 10/182
 
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...