Thursday, March 30, 2017

SUBSIDY-CHHUTWALI LOAN KA HUKM

*SUBSIDY-CHHUTWALI LOAN KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO. ⭕

Hukoomat mashin,truck,tempo wagairah cheezen logon ko karobar par lagane ke liye qarz subsidy ke naam se deti hai ya'ani us me 25% raqam muaaf kar deti hai fir baaqi raqam 10%  sood ke saath har mahine ki qist-hafte se wasool karti hai to yeh subsidy wali sarkari loan musalman ko lena kaisa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jahaan tak hame ma'alum huva hai is qism ke plan se hukoomat ka maqsad berozgaron ko rozgar muhayya karna aur gareeb riaaya-public ko faidah uthane ka mauqa dena hota hai isee liye hukoomat kuchh raqam chhut bhi deti hai (jise subsidy kaha jata hai) is qisam ki scheme se hukoomat ka maqsad sood khori nahin hai
isliye agar koi shakhs hikmat se is qism ki scheme se qaraz le aur hukoomat ki taraf se uspar kuchh raqam chhut mile aur baaqi raqam hukoomat sood ke saath wusool kare to agar woh sood chhut (subsidy) me mili huyi raqam se adaa ho jaata hai aur apne paas se zaaid raqam na dena padti ho to is ta'awil se ya'ani yun samajh kar ke hukoomat ne bataure tawun-madad ke jo raqam di thi us shakhs ne usee madad wali ki raqam me se kuchh raqam wapas kar di” mazkoorah scheme ke aitibaar se qaraz lene ki gunjaish ma'alum hoti hai

aur agar sood ki raqam chhut-subsidy me mili huyi raqam se ziyadah dena pade to fir ye muaamala soodi kehlayega aur na jaiz rahega.

📗FATAWA RAHIMIYAH KARANCHI 9/233

📘NIZAMUL FATAWA 3/138

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

http://www.aajkasawal.page.tl

*JOIN Telegram Channel*

Telegram.me/Aajkasawal

*Daily Visit Our Website:*

https://IslamicGrp.weebly.com

*Download Our Android App:*

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...