Sunday, March 19, 2017

MASJID ME DUNYAWI BAAT

*MASJID ME DUNYAWI BAAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.954⭕

Masjid me dunyawi baten karna kesa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
jo baten masjid ke bahaar mubah aur jaiz hai woh bhi masjid me na jaiz hai aur woh baten jo masjid se bahaar na jaiz hai woh masjid me sakht haraam hai fathul qadeer me.likha hai ke masjid me dunya ki baten nikiyon ki is tarah khaa leti hai jis tarah aag sukhi lakdiyon ko kha leti hai.aur khazanatul fuqah me likha hai ke jo shakhs masjid me dunyawi baten karta hai allah taala us ke 40 chalis din ke amal habt-khatm kar deta hai (AL ASHBAH)

Agar baten karne ki garz se masjid me na bethhe balke ittifaqi taur par dunya ki koi zarooree bat aahista keh de to koi haraj nahi hai lekin awlaa aur behtat yahi hai ke is se  bhi bache jaise ke sahaba e kiram aur salafe saliheen-agle buzron ka mamool tha.
Hazarat khalaf رضی اللہ عنہ masjid me bethhe the un ka gulam aaya aur kuchh dunyawi baten puchhne laga aap wahan se uthh kar masjid se bahar aa gaye  aur fir jawab diya.

📕AADABUL MASAJID SAFA 38 HZ.MUFTI SHAFI RH.KI

 
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl

*JOIN Telegram Channel*

Telegram.me/Aajkasawal

*Daily Visit Our Website:*

https://IslamicGrp.weebly.com

*Like Our Facebook Page:*

http://facebook.com/IslamicGroup0

*Download Our Android App:*

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...