⭕AAJ KA SAWAL NO.938 ⭕
*Mayyit ke ghar Isale sawab ke liye jama hona:*
Baaz jagah qabrastan se vapasi par usi din ya dusre din ya tisre din jama hokar Qur'an sharif ya aayate karima ya kalima e tayyiba ka khatm hota hai, jis ke liye aurate khaas tor par jamaa hoti hai, fir ijtimayi isale sawab aur duaa ke baad hazirin ko khana aur kahi mithayi vagairah taqsim ki jaati ha.isale sawab ka ye tareeqah saheeh hai?
agar saheeh na ho to saheeh tareeqe batane ki guzarish
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
pehle to is khaas tairqa se jamaa hokar khatm aur isale sawab ki rasm ki shareeat me kahi sabut nahi na istarah isale sawab huzoor SALALLAHU ALAYHE WASALLAM ne kiya,na sahaba radiyallahu anhum ne na tabiyeen wa tabe tabiyeen rahmatullahi alayhim ne isliye ye bid'at hai, dusre kai vuzuhat aise he ke jiski vajah se yah ijtima jaiz nahi.masalan aurton ka jama hona,aksaron ka dekhlawe ke liye aana wagairah
*Qur'an khwani ka tariqa 1:*
Hazrat molana thanvi rah. farmate hai khaas ahbaab(dosto, rishtedaro) se keh diya jaaye ke apne apne makam par tofiq ke mutabiq padhkar sawab pahocha de.chahe tin baar qulhuvallah hi padhkar bakhsh de. jis se ek Qur'an ka sawb mil jayega ye is se bhi achha hai ke ijtimayi surat me 10 Qur'an khatm kiye jaaye is me aksar ehle mayyit ko jatlana hota hai Allah ke yahaa thode ko nahi dekha jaata khulus aur niyyat dekhi jaati hai
📙(RAHIMIYYAH JADID 7/101, BEHSTI ZEVAR 2/127)
📕MAYYIT KE SHARAYI AHKAM SE MAKHUZ SAFA 23 SE 76 MAKHUZ MUFTI FARID YUNUS DEVALVI D.B.
*Rsumat ki pabandi bagair Qur'an khwani karne ka tareeqah 2:*
bagair elaan ke ghar vale, rishtedar aur dost vagairah kisi masjid me namaz baad kisi rivaj ki pabandi ke bagair na bethnewale ko bura samjhe bagair isale sawab ki niyyat se Qur'an khwani kare to uski gunjaish hai.
📙(FATAWA RAHIMIYAH 198/8 AYNI 306/3)
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
This comment has been removed by the author.
ReplyDelete