*JIVAN BIMA L.I.C KA HUKM*
⭕AAJ KA SAWAL NO.936 ⭕
mavjoodah daur me jab jaan salamat nahi To Jivan bima lena kaisa hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
jivan bima lena kaisi hi halat ho aur kisi hi niyyat ho jaiz nahi, kyun ke is me jaan jati hai to hi raqam aur zaid raqam wapas milti hai, agar kam umri me jaan nahi jayegi to us ki zaid raqam nahi milegi, yani ye muaamala nafe aur nuqsan ke darmiyan muallaq hota hai, isee ko juwa kehte hai.
jis ka haraam hona quran se sabit hai, aur jivan bima me intiqal ke baad bhari hui raqam se zaid raqam wapas milti hai, ye sood hai jo sakht haraam hai.
rahi baat fasadat ki to fasadat me kisi ki jaan jati hai to hukoomat aur company is ko kuchh bhi nahi deti, aur fasadat me maldar aadmi jo bima leta hai woh aksar ghar par mahfooz hota hai, aur gareeb aadmi jo apni rozana ki zaruriyat mushkil se puri karta hai us ke paas jivan aur health bima me bharne ke pese hi nahi hote isliye woh bima lete nahi hai aur jani nuqsan aksaro beshtar ye thele aur laari lekar karobar ke liye nikalne walon ka hee hota hai, lihaza dukan aur car ke bima ki tarah jawaz ki ijazat jivan bima me fasadat hote rehte hai aesi maqamat par bhi nahi hogi,
baaz muftiyane kiraam ne ijazat dee thi unhone ne bhi apne fatwe se rujooa kar liya hai tafsili bahas aur dalail ke liye dekhen
📗 fatawa qasmiyah jild 20 safa 439 se 458
📘Mahmoodul fatawa 2/474
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment