Monday, March 27, 2017

CRICKET KHELNE KE 10 NUQSAN

🏏 *CRICKET KHELNE KE 10 NUQSAN*

⭕AAJ KA SAWAL NUMBER 962 ⭕

Cricket dekhna aur  khelne ka kya hukm hai?
is se warzish bhi hoti hai ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

cricket khelne me hasbe zail kharabiyan hain.

1.
isme khelnewale ke jism ko sakht nuqsan pahonchta hai, bazon ki tangen tootna aur bazon ke sar ya pet me chot lagne se maut ke munh tak pahonch jana hum ne khud dekha hai.

2.
Aane jane walon ko chalne aur gaadi chalane ke raaste par khelne ki wajah se guzarne me taklif hona, koi insan balke koi haiwan bhi itminan se guzar nahi sakta

3.
Aane-jaane wali gaadiyon ko aur khelne walon ko accident ki wajah se jaan jane ya chot aane ka khatrah

4.
Aane-jaane walon aur aaju-baju ke logon ko ball ya bat se chot lagne ka khatrah, balke ba'az ki aankhen futne aur bazon ke chehre badalne ke waqiaat bhi paish aate rahte hain

5.
Padosiyon ke gharon ke shishe ya khidkiyan toot jana.

6.
Out hone na hone me jooth,  Dhoka,j hagde, dili ranjish,  kina, dushmani adawat wagairah gunah me mubtala hona.

7.
Agar haar jeet ki shart lagai jaye to juwe ka gunah.

8.
Inaam dene wali tisree party ya jama'at ho to agar us ka zaati paisa hai to fuzool kharchi aur haraam kaam me support karne ka gunah,  agar qaum ka paisa hai to amanat me khiyanat karne aur dusre mustahiqeen ka haq marne ka bhi gunah.

9.
Khel ki mashguli ki wajah se farz Namaz ya us ki jamaat chhodna.

10.
apna qeemati waqt jis me dunya aur aakherat kama sakte hai is khel me zayea karna, aur khel khatm hone ke baad bhi us ke tazkiron me waqt zayea karna

👉🏻Rahi baat warzish-kasrat ki to isme warzish ke matlab par tamashe ka matlab galib-barldha huwa hai.

us ki daleelen.

1.
Kisi warzish ko puri dunya me koi khel nahi kehta, pahelwan warzish karte hain, doctor mukhtalif bimariyon ke liye warzishen batate hain, koi bhi us ko khel nahi kehta. gend aur foot ball ko koi bhi warzish nahi kehta balke khel kehte hain.

2.
Warzish ko dekhne ke liye dusre log jamaa nahi hote, koi ek admi chala gaya to alag baat hai.

3.
Cricket, football wagaieah ke muqabalah ko dikhane ke liye log tv par ghanton bethe rehte hain, kisi warzish ko dikhane ke liye kisi hukoomat me kisi mulk me koi intizam nahi.

4.
Warzish me koi aisa mashgool nahi hota ke zarurat se zaid karta hi chala jaye, waqt mutayyan hota hai, aadha ghanta, ghanta jab waqt guzar jata hai to shauq nahi rehta, is shaitani dhandhe ka haal ye hai ke agar shurooa kiya to hosh nahi rehta, khelte hi chale jate hain. ma'alum huwa ke ye warzish nahi balke khel tamasha hai.

📗 AHSANUL FATAWA 8/258 SE 261
aur

📘MAHMOODUL FATAWA 4/811 SE 813 SE MAKHOOZ IZAFE KE SATH.
و اللہ اعلم

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO

🕌USTAZE DARUL ULOOM RAMPURA SURAT GUJRAT INDIA

📲Roman urdu me masail ke liye zaroor dekhe

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

*Subscribe Our Youtube Channel:*

http://youtube.com/BayanatPost

*JOIN Telegram Channel*

Telegram.me/IslamicGroup

*Daily Visit Our Website:*

https://IslamicGrp.weebly.com

*Like Our Facebook Page:*

http://facebook.com/IslamicGroup0

*Download Our Android App:*

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ๐Ÿ”ตJAWAB๐Ÿ”ต Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...