Saturday, March 11, 2017

4 MAHINE PEHLE KA HAMAL

*4 MAHINE PEHLE KA HAMAL GIRANA (ABORTION KARVANA)*
⭕AAJ KA SAWAL NO.946 ⭕
Ek aurat Ko Hamal thaharne Ko 3 mahine huve hai
Aur usko abhi 4 mahine ka bachcha hai. Aur operation se aaya hai. Aur ab dusra Hamal ther gaya hai. Aur aurat kamzor hai aur bachcha bhi kamzor hai. Dudh bhi uski maa ka pitaa hai. aur dudh pura nahi aata musalman deendar Dr.Ko puchha to bataya ke is ki delivery me risk hai.
To ab woh aurat Hamal gira sakti hai?
AAJ KA JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Bachche ke baal, ungaliyan, pair wagairah aa'zaa ban gaye ho aur bachche me jaan pad gai ho jiski muddat 120 din hai (ya'ani char mahine, aisi haalat me kisi ke nazdeek bhi hamal girana jaiz nahin hai haraam aur gunah hai aur usse pehle agar sharaee uzr ki wajah se hamal giraya jaye masalan dudh pine wala bachcha ho aur hamal therne ki wajah se aurat ka dudh sukh gaya ho aur bachche ka baap uske dudh ka intizam na kar sakta ho)
aur us wajha se bachche ki jaan ko khatrah laahiq ho gaya ho to hamal gira dene ki gunjaish hai warnah gunah hai. lihaza puchhi huyi surat me waqaee bachche ya us ki maa ko khatrah ho hamal girane ki gunjaish hai
و اللہ اعلم
FATAWA QASMIYAH 23/284 285
FATAWA RAHEEMIYAH 10/190 KARANCHI
 Mufti Imran Ismail Memon.
 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...