Wednesday, March 22, 2017

MULAZIM KA ASAL QEEMAT SE ZAYADAH PAISA WASOOL KARNA

*MULAZIM KA ASAL QEEMAT SE ZAYADAH PAISA WASOOL KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.956 ⭕

Compani baaz mulazim is maqsad ke liye rakhti hain ke woh bazar se saaman khareed kar laya karen isee tarah baz badhi-suthar wayarman,mistri wagairah thekedar-karigar jo kisi ke yahan mazdooree-ujrat par kaam karte hai woh saman bazar se kam qeemat me late hai aur compani se ya seth-malik se hisab se zayadah raqam batakar zayadah pese wasool karte hai aesa karna kesa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

mulazim,thekedar-karigar ki sharee haisiyat us wakeel ki hai jis ko apne kaam ki tankha ya mazdooree milti hai lihaza un par lazim hai ke apne malik-compani ke sath amanatdari ka muaamalah karen aur sirf asal qeemat wasool kare.asal qeemat se zayadah wasool karna na jaiz aut haraam hai

📘JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/290
 
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

📱💻http://www.aajkasawal.page.tl
📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...