Wednesday, June 7, 2017

KAMANE PAR QAADIR KE LIYE SAWAL KARNA

*KAMANE PAR QAADIR KE LIYE SAWAL KARNA*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1035⭕

Sawal karna kiske liye jaiz hai aur kiske liye na-jaiz hai?

🔵JAWAB 🔵

Jo kamane par qaqdir ho ya Jis ke paas ek din ka khana peena maujud ho usko khane peene ke liye sawal karna haraam hai aur aise ko uske liyed ena bhi haraam hai.

Isee par dusri zaruriyat libas, makaan wagairah ko samjh lena chahiye aaj-kal ladki ke liye jahez dene ke liye zakat mangne ka riwaj ho gaya hai jahez zaroorat me dakhil nahin uske liye sawal karna jaiz nahin bagair mange koi mustahiq ko de den to zakat ada ho jayegi alabattah aisa shakhs jis ki milkiyat me saade bawan (52.5) tola chandi ya'ani hindustan me aaj ki tareekh me 24400 rupiye ka haajat e asliyyah ya'ani isteamal ki Cheezon ke alawah ka kisi bhi qisam ka maal mavjood  na ho use zakat de sakte hai.

📘AHSANUL FATAWA 4/268BA HAWALASHAMI 2/76

📗FATAWA QASMIYAH 2/268 BAHAWA TAHTAWI 722

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...