Monday, June 5, 2017

PAANCH VUJUHAAT KI BINA PAR ROZAH NA RAKHNE KI IJAZATHAI

*PAANCH VUJUHAAT KI BINA PAR ROZAH NA RAKHNE KI IJAZATHAI.*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1033⭕

Shariat me kin vujuhaat ki bina par rozah na rakhne ki ijazat hai?

🔵AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Darj e zeil paanch (5) vujuhaat ki bina par rozah na rakhne ki ijazat hai

(1). *Marz = (bimari):-*
Jiski wajah se rozah rakhne ki taakat na ho. Ya rozah rakhne se bimari bandh jaane KA abdesha ho.
(Bimari khatm hine ke baad qazaa karna zaruri hai)

(2) *MUSAFIR =*
Sharai musafir jiski kam se kam mikdaar 77.50 km. hai.
(Muqim hone ke baad qazaa karna zaruriMemon

*NOTE :-* Safar e sharai me rozah na rakhne ki ijazat to hai, Lekin rozah rakhne me ziyadah taklif na ho to rozah rakhna behtar hai.

(3) *BUDHAPA=*
Aisa budha kamzor (budha / budhiya) jo rozah na rakhne sakte hoaur woh rozah ke badale fidya 1.75 kg. gehu (wheat) garib ko de.
(Lekin agar Allah sehat deto qazaa karna zaruri hai)

(4) *HAAMILAH = (Pregnant) / doodh pilaane wali*
Jinko rozah rakhne se apni jaan ko ya bachche taklif pahonchne ka khatarah ho.
(Baad me qazaa karna zaruri hai)

(5). *HAIZ VA NIFAAS=*
Haaizah Aur nifaas wali aurato ke liye rozah rakhna durust nahin.
Agar rakhne le to adaa na hoga Aur yeh gunah gaar hogi.
(Paak hone ke baad rozah ki qazaa karna zaruri hai)

📘Fataava Rahimiyah7/720

✏Tasdeeq.
Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...