*FITRA KITNE & KYA*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1049⭕
Ek aadmi ka Fitra kitne rupiye hai aur kya cheez de sakte hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sadqa e fitr me har qism ka galla (anaaj) aur qeemat dena jaiz hai,
Uski tafsil ye hai
Agar gehun ya uska aataa de to har aadmi ka pone do kilo (1 kilo 750 gram) dena chahiye,
Agar gehun ke alawa aur koi galla (anaaj) maslan chaval, baajra, javaar, wagerah de to pone do kilo gehun ki qeemat ya saade teen kilo (3 kilo 500 gram) jav ki qeemat me jitna wo galla aataa ho itna galla dena chahiye,
Aur agar qeemat de to pone do kilo gehun ya saade teen kilo jav ki keemat deni chahiye,
➡(Aaj ke hisaab se 50 rupiye adaa karne honge)
Sab se behtar fitra ye hai ke, aaj kal chhuarah (kharek) ya kismis (sukhi darakh) ki keemat aur wazan ka nisaab ziyada hai, lihaza saade teen kilo kharek ya darakh ki keemat behtar hai,
Hadis me hai ke
ALLAH TUMHE ZIYADA DE TO TUM BHI ZIYADA DO.
✳COMMON FITRA
GEHUN KI QEEMAT RS 50 [year 2017]
✳ GOOD FITRA
SADE TIN KILO JAW YA US KI QEEMAT RS.100 (2017)
✳BETTER FITRA
SADE TIN KILO KHAJOOR YA US KI QEEMAT RS 700 [year 2017]
✳BEST FITRA
SADE TIN KILO KISHMISH YA US KI QEEMAT RS 1050 [year 2017]
📗Masaile roza 416, ba hawala
📘ilmul fiqah 4/53
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment