Sunday, June 25, 2017

EID MUBARAK KEHNA

*EID MUBARAK KEHNA*

🔴AAJ KA SAWAL NO. 1053🔴

aaj kal log eid ke mavqah par eid mubarak kehte hai is ka kya hukm hai is ka koi shareeat me suboot hai ?

🔵JAWAB🔵

Lafze eid mubarak ko sunnat aur zarooree samjhe bagair in alfaaz se mubarak badi dene me koi haraj nahi.

Mustahab ye hai ke niche ke lafzon se mubarak baadi dee jaye.

Hazrat wasilah RADEEYALLAHU ANHU  farmate hai ke mene nabie kareem SALALLAHU ALAIHI WASALLAM se eid ke din mulaqat ki hai aur meine kaha

*TAQABALLAHU MINNAA WA MINK*

Allah hamare aur tumhare nek amal qabool farmaen.

Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne irshad farmaya han zaroor *TAQABALLAH MINNAA WA MINK*

📚(sunane bayhaqi lil kubraa hadees no.6088) allamah albaani Rahmatullahi alayhi ne is hadees ki tayeed ki hai

Aur sahibe hilyah ne aur muhaqeeq ibne ameerul haaj ne ne saheeh sandon ke sath bahot se asaare sahaba naqal kiye hai aur mubarak ke mavqeh par barkat ki duaa dena bhi sabit hai is se EID MUBARAK kehna jaiz hai

📚(muhaqqaq wa mudalal jadeed masaail (mufti jaafar sahab rahmani ki) safa 101 ba hawala raddul muhtar alaa durril mukhtar 3/47 kitabus salat)

 📚khairul fatawa 3/124

📚fatawa haqqaniyah 2/70

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  ЁЯФ╡JAWABЁЯФ╡ Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...