*AETKAAF ME JUMAA KA HUKM & MAMNUAAT*
🔴AAJ KA SAWAL NO. 1041🔴
A. aetkaaf jis masjid me kiya ho wahan jumaa na hota ho to jumaa parhne ke bare me kiya masail hai?
B. aetkaaf me kin cheezon se bachna chahiye?
🔵JAWAB🔵
A.
jis masjid me muatkif he agar waha juma ki namaz nahi hoti ho to namaze jumaa ke liye ja’ama masjid yani jahan jumaa hoti ho wahan Jana bhi durust he, magar ese waqt me jaye k waha jaakar Tahiytul masjid aur sunnat padh sake, aur namaze jumah se farig hokar fauran apni masjid me wapas aa jaye,
B.
Agar bhoole se bhi apni masjid se nikal gaya to bhi aetkaaf toot gaya,
Aitkaaf me be-zaroorat duniyavi kaamo me mashgool hona makroohe tahreemee he, maslan be-zaroorat kharid farokht karna,
(Agar gareeb aadmi he k ghar me khane ko kuchh nahi to us ke intizam me aetkaaf me bhi khareed farokht kar sakta he),
magar bechne ka samaan masjid me lana jaa’iz nahi,
Haalate aetkaaf me bilkul chup bethna durust nahi,, Haa agar zikr, tilawat vagera karte karte thak jaye to araam ki niyat se chup bethna saheeh he,
Ramzan Mubarak ke 10 din aetkaaf karne ke liye zarooree he k 20 vi islami tareekh ko suraj guroob hone se pahle masjid me aetkaaf ki niyyat se dakhil ho jaye kyuki 20 vi tareekh ka suraj guroob hote hi Aakhri ashra shuru ho jata he,
⇨ agar suraj guroob hone ke baad chand lamhe bhi aitkaaf ki niyat ke bager guzar gaye to aetkaaf masnoon na hoga balke nafali aetikaf ho jayega
📗Aapke Masail aur Unka Hal,3/322
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment