*AETIKAF ME JAIZ KAAM*
⭕AAJ KA SAWAL NO 1043⭕
Aitkaaf Ki Haalat me Jaaiz Kaam kon konse hain?
1- Khana peena (Basharte k masjid ko ganda na kiya jaye),
2- Sona,
3- Zarurat ki baat karna,
4- Apna ya doosre ka Nikaah karna,
5- Kapde badalna,
6- Khushbu lagana,
7-Tel (hair oil) lagana,
8- Kanghi karna (Basharte k masjid ki chatai aur qaaleen vagera kharab na ho),
9- Masjid me kisi mareez ka muaena karna, nuskha likhna ya dawai dena, lekin yeh kaam bager ujrat ke ho to jaaiz hai varna makrooh hai,
10- Bartan dhona,
11- Zaruriyaate Zindgi ke liye ghar ka kharcha chalane ke liye khareed farokht karna Basharte ke sauda masjid me na laya jaye,
12- Aurat ka Aitkaaf ki haalat me bachcho ko doodh pilana,
13- Moatkif {Aitkaaf Karne wale} ka apni nashishtgah {Khane Sone Ki jagah} ke ird gird chaadare lagana,
14- Moatkif ka masjid me apni jagah badalna,
15- Baqadre zarurat bistar, saabun, khane peene ke bartan, haath dhone ke bartan aur mutalaa ke liye deeni kitaabe masjid me rakhna.
No comments:
Post a Comment