*MUSAFHA AUR MUAANAQAH*
🔴AAJ KA SAWAL NUMBER 1052🔴
MUSAFHA AUR MUAANAQAH KAB KARE ?
🔵JAWAB🔵
jab bhi musalman bhai se mulaqat ho sab se pehle use salam kare fir musafahaa kare pehal karne wale par allah ki 90 rahmate utarti hai aur dusre par 10 aur juda hone se pehle allah taala dono ki magfirat farma dete hain (mazahire haq) musafahaa salam ka takmilah hai yani us se salam mukammal hota hai aur salam ke baad karna chahiye
Eid ke din namaz ke baad masjid me musafahaa shiyon ki mushabahat ki wajha se manaa hai masjid ke bahar agar mulaqat na hui ho to mulaqat ki niyyat se musafaa kare.eid ki khas sunnat aur tareeqah samjh kar na kare
Aur muaanaqah safar se aane ke baad ya pehli baar mulaqat ho rahi ho to muaanaqah karna chahiye eid ki makhsoos rasm samjhkar muaanaqah na kare
Mulla ali qari Rahmatullahi alayhi likha hai fir bhi koi musafeh ke liye hath barhaye to hath na khinche hath khinchne me us ki zillat hogi aur use taklif pahonchegi aur ye haraam hai us waqt musaafa kar le fir piyar muhabbat se samjha de garz nafrat ka mahol paida ho aesi koi surat ikhtiyar na kare.
Ham aehle sunnat wa jamaat hain jo ibadat huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM aur sahaba RADEEYALLAHU ANHUM aur tabieen aur tabe tabieen Rahmatullahi alayhi jis tarah jis darje me sabit hogi usee tarah ham amal karenge to hi sunnat ada hogi aur sawab milega apni taraf se zarabarabar kami beshi hamare akabireen ko gawara nahi hai aur yahi sirate mustaqeem sidha aur najat ka rasta hai.
📚masaile adabo mulaqat 83 se 86
و اللہ اعلم
📝 Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment