*LAILATUL QADR KI AEHMIYAT&WAQT*
⭕AAJ KA SAWAL NO. 1044⭕
Shabe Qadr kya hai ? Ye kab hoti hai aur isme kyaa ibadat karni hai ?
🔵JAWAB🔵
Allah subhãnahu-ta'ala Quran e majeed me farmate hai
*“Yaqeenan Ham ne Ise (Quran) Shab e Qadr me Naazil farmaya,*
*Tû kya samjhã Ke Shabe Qadr kya hai❓*
*"Shab e Qadr ek Hazaar ‘Mahino’ se behtar hai"*
*📖Surah Qadr 97, ayat 1-5.*
RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ek lambing hadees me farmyard ke is mahine me ek raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Jo is mahine me Allah ki barkat se mahroom raha wo har bhalaai se mahroom raha
*📗Musnad Ahmad, hadith- 7148.*
*LAILATUL QADR KÃ WAQT*
Lailatul Qadr Ramzaan ke aakhri ashre ke taaq raato me talash karni chahiye 27 hi ko LAILATUD qadri samjh na saheeh nahi agarcheh us me imkaanat zayada hai lekin aehtalam dusri raton me bhi hai lihaza pancholi raton me kam se kam raat aksar hissa yani magrib band se 12:30 take ibadat kare to bhi kafi ho jayega
Haz.Aysha razi'allahu anhu riwayat karte hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya : “Ramzaan ki aankhri ashre ki Taaq raato me Lailatul Qadr talash karo.
*📘Sahih al-Bukhari, hadith 2017.*
Isse ye pata chalta hai ki aakhri 10 taaq raato me ehtemam ke sath ibadat karni chaiye aur sirf 27 ko iktifa nahi karni chaiye.*
*Ramzaan ke aakhri ashre me apne ahl o ayal ko ibãdat ke liye khusoosi targeeb dilana masnoon hai :*
Iska matlab sirf khud hee nai balki apne bachchon ko aur apne ghar walo ko is ke taraf tawajjo dilana chaiye :
Hazrat Aisha razi'allahu anhu farmati hai ki Ramzaan ke aakhri ashre me Nabi ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм "baqi dino ki nisbat ibadat me zyada koshish farmate".
*📗Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1767.(sahih)*
🌿Hajrat Aisha razi'allahu anhu farmati hai ke jab Ramzaan ke aakhri 10 din shuru hote tou RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ibadat ke liye kamar-basta ho jate (kamar kas lete) raaton ko jaagte aur apne ahl o ayaal ko bhi jagãte.
*📗Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 7, Hadith 1768. (sahih)*
🌿Abu Huraira razi'allahu anhu riwayat karte hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya “Jisne Lailatul Qadr mein Imaan ke saath Sawaab ki Niyyat se Qiyaam kiya, Uske Guzishta Gunah Muaaf kardiye Jaate hai”
*📘Sahih al-Bukhari, hadith 2014.*
Lailatul Qadr me saari nekiya ibadat ham karte hai us me se behtareen hai Taweel qayam, Lekin jo ye na kar sake vo baith kar tilawat,salatut tasbeeh, zikr aur azkaar kare.
✏TASDEEQ WA IZAFA
Mufti Imran Ismail Memon.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india
📱💻
http://www.aajkasawal.page.tl
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group
No comments:
Post a Comment