Saturday, June 17, 2017

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1045⭕

*Aitkaaf Ke Mamnuaat aur Makroohaat,*
           

1- Bila zarurat baate karna,

2- Aitkaaf ki haalat me fahash ya bekaar aur jhoote qisse kahaniya ya islam ke khilaf mazameen per mushtmil literature, Tasveer wale akhbaraat wa Rasail ya akhbaar ki jhooti khabre masjid me lana, rakhna, padhna, Sunna,

3- Zarurat se zyada samaan masjid me laakar bikher dena,

4- Masjid me bijli, gais aur paani vagera ka beza {Fuzool} istemal karna,

5- Masjid me Cigarette, Bidi v Huqqa peena,

6- Ujrat ke saath hajamat banana aur banwana,

lekin agar kisi ko hajamat ki zarurat he aur bager ujrat ke banane wala Mil Na raha ho to esi soorat akhtyar ki ja sakti he k Hajamat banane wala masjid se bahar rahe aur Muatakif masjid ke andar.

📘MASAILE AETIKAF SE MAKHOOZ

✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SURAT GUJRAT INDIA
http://www.aajkasawal.page.tl

https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...