Friday, August 24, 2018

Waqt par qurbani na kar sakna

*Waqt par qurbani na kar sakna*

🔴sawal no 1462🔴

1⃣ Agar waqt per qurbani na kar saka to ab kya hukm hai??

2⃣ Qurbani waqt per na kar saka to baad me bade janwar me hissah le kar qurbani kar sakta hai ??

🔵jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣ Agar waqt per qurbani na ki ja saki aur janwar pehle se mawjud hai to usi janwar ko zindah sadqah karna zaruri hai,  aur agar janwar mawjud na ho to poore janwar ki qimat ka sadqah lazim hai.

2⃣ Agar qurbani wajib thi aur qurbani ke dino me nahi kiya to ab 1 bakre ki qimat garibo per sadqah karna zaruri hai..

Ya'ani ab bade janwat me hissah nahin le sakta balke pure janwar ki qimat deni zaruri hogi..

📘Mustafad kitabul masail 2/229

و الله اعلم بالصواب

📝Maulana Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

📆12 zulhijjah 1439 - 24/08/2018

🕌Ustaaze Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Guj.hindi, urdu parchon ke liye www.deeneemalumat.net

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...