Thursday, August 16, 2018

Chand aadmi ka ek ki taraf se nafli qurbani karna*

🅰

*Chand aadmi ka ek ki taraf se nafli qurbani karna*

🅱

*Baap ka apne ghar walo ki taraf se qurbani karna*

⭕sawal no.1450⭕

🅰

Ek se zaid aadmi mil kar Huzoor Sallallahu alayhiwasallam ki taraf se ya apne marhum rishtedar ki taraf se qurbani karen to qurbani sab ki taraf se sahih hogi ya nahin?

Ba hawala jawab dene ki guzarish

🅱

Baap apnebachcho aur ghar walo ki taraf se har saal qurbani karta hai, to ghar walo ya bachcho ki ijazat lena zaruri hai?

🔵Jawab🔵

🅰

Haan ek se zaid  aadmi Huzoor ﷺ ya Rishtedar marhum ki taraf se qurbani karen to istihsanan (khilafe qiyas maslihatan) nafli isale sawab ki niyyat se qurbani sahih ho jayegi.

📕Fatawa mahmoodiyah dabhel 17/326 bahawala durre mukhtar

 📗Fatawa raheemiyyah darul isha'at 10/57

 📘Kitabun nawazil 14/527 se 529

وان مات احدالسبعة وقال الورثة اذبحوا عنه وعنكم صح عن الكل استحسانا لقصد القربة من القربة .  شامي جلد 6/326کتاب الاضحیہ سعید

🅱

Agar baap ka ma'amul hai ke woh har saal apne biwi bachchon ki taraf se qurbani karta hai, to sab ki taraf se qurbani durust hai, ghar walon ne ijazat di ho yaa na di ho.

Haan agar har saal bachchon ki taraf se qurbani karne ka mamool nahin hai balke kabhi kabhi bade bachche apni qurbani khud bhi kar lete hain to unki ijazat lena zaruri hai, warna qurbani sahih nahin hogi.

📗Kitabul masail 227 se makhooz

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📆3 Zulhijjah 1439 - 15/08/2018

📲💻
http://aajkasawal.Page.tl

http://aajkasawalhindi.page.tl

http://aajkasawalgujarati.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...