Monday, August 6, 2018

Qurbani ke badle sadaqah

*Qurbani ke badle sadaqah*

⭕Aaj ka sawal no.1439⭕

Agar koi qurbani na kare aur uske badale qimat sadaqah kar de to durust hai ? Ya qurbani hi zaruri hai ?

🔵Jawab🔵

Qurbani ke dino me (qurbani wajib ho to) qurbani hi zaruri hai,

Qimat ka sadqah kaafi nahin, ba'az logo ko janwar lane, katne aur taqsim ka bojh padta hai to in kaamon par bhi bahot ajro sawab diya jata hai agar yeh cheez na karni ho to chhote janwar ki qeemat dekar uski qurbani karne ka kisi ko bhi wakeel (zimmedar) bana sakte hain ya bade janwar me hissah le sakte hain

Lekin qurbani hi karni padegi un paison se kisi ki madad karne se qurbani ka wajib zimme se na utrega aur gunehgar hoga.

Haan, agar kisi wajah se un dino me qurbani nahin kar paaya aur din guzar gaye  to phir qimat ka  sadaqah zaruri hai.

📗Fatawa mahmudiya jadid 17/310 se makhooz)

✏imran ismail memon surat gujrat

*Islami tarikh* 23 zee qadah 1439 hijri - 6/8/2018

💻📲
http://aajkasawal.page.tl

Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...