*JAN GAN MAN GEET GAANE KA HUKM*
🔴Aaj ka sawal number 1449🔴
15 August ya 26 January ke mauqe par apne desh se muhabbato-aqaeedat ka izahaar ke liye "jan gaṇa man" ya is jaise dusre raaṣhtriya taraane (national rythem) ya geet paḍhnaa kaisa hai ?
🔵Jawab🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Har aisi nazam (kavita) taraanaa ya geet jisme kufro-shirk wale alfaaz ho, Aise taraanon, geet ya nazam ka paḍhna jaiz nahin hai, fir jis kavita ya shero-shaayri me kisi ki burayi bayaan ki jaye, ya khamakhaa ki taarif ki jaaye to woh geet ya taraane chaahe rashtriya ho ya gair raashtriya, unka paḍhna bhi sahih nahin hai.
Haan vaise jis geet ya taraane me kufariyyah shirakiyyah alfaaz na ho, aise hee usme jhooṭh, kisee ki buraai ya jhooṭee taarif na ho to uska paḍhnaa jaiz hai.
Aur "jan gaṇa man" taraane me aise alfaaz nahin hai jinhen shirk kahaa jaye, lihaza ise paḍhana durust hai.
📚Shaamee 2/433)
soorah-shuaraa 224) tafaseer nasafee 2/588)
aap ke masaail aur un ka hal 8/488)
و الله اعلم بالصواب
✏MUFTI IMRAN ISMAIL MEMON SAHAB
🕌Ustaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📆2 zulhijjah 1439 - 14/08/2015
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
http://www.aajkasawalhindi.page.tl
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl
Guj. Hindi, urdu parchon ke liye
www.deeneemalumat.net
No comments:
Post a Comment