Saturday, August 18, 2018

QURBANI KE DINO ME GAREEB YA MAALDAAR HONA*

*QURBANI KE DINO ME GAREEB YA MAALDAAR HONA*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1452⭕

1⃣.
Ek aadmi maal daar tha, lekin qurbani ke din aane se pehle gareeb ho gaya, to kya us par qurbani wajib hai ?

2⃣.
Ek aadmi gareeb tha, lekin qurbani ki dino me maal daar ho gaya, to kya us par qurbani wajib hai ?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣.
Qurbani ke dino me gareeb ho gaya, ya'ani sahibe nisab nahi raha, to is par qurbani wajib nahin.

2⃣.
Jo pehle faqeer tha, Qurbani ke dino me ya qurbani ke tisre din aakhri waqt me bhi maal daar ho gaya, to us par qurbani wajib hai.

📚Mustafad kitabul masail 2/222

📝 Mufti Imran Ismail Memon

📆5 zulhijjah 1439 - 17/08/2018

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
Roman Urdu me masail dekhne ke liye zarur dekhiye

http://aajkasawal.page.tl

📱

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...