*QURBANI KIS PAR WAJIB NAHIN?*
⭕AAJ KA SAWAL NO 1435⭕
Qurbani kis par wajib nahin?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Qurbani ke din 10 zil hijjah ki subah sadiq se lekar 12 vi zil hijjah ki gurub e aaftab tak ke waqt me jo paagal, na-balig, musafir e sharaee {apne ganv-shahar ki border se 77.25 K.M.door safar me ho aur ek shahar ya ganv me 15 din se kam thaharne (rukne) ki niyyat ho woh musfir hai} aur gareeb ya'ani jiski milkiyat me sadi bawan tola chandi jis ki aaj 19/zil qadah/1439 hijri ko 25350 rs. ki qeemat Hai, itni qeemat ke naqad rupiye, sona, chandi, bechne ka maal, na bechne ke, istemal me na aati ho ya sharaee zarurat se zaid ho aisi cheezen masalan TV., Showcase aur uske bartan, 3 Jodi se zaaid kapde in me se tamaam ya ba'az cheezon ko mila kar qarza ho to woh adaa kar ke itne paise na bachte ho to us par qurbani wajib nahin agarche woh bangle me rehta ho us ke paas is isteamal ki four wheelers, 2 wheelers gaadi ho aur behtreen mobile Wagairah isteamal ki cheezen ho.
Lekin fir bhi qurbani kare to bada sawab hai qurbani ke dino me is se badh kar koi neki nahin.
📕KITABUS MASAIL 2/300 se MUSTAFAD
و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻 http://aajkasawal.Page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment