*QURBANI KIS PAR WAJIB*
⭕AAJ KA SAWAL NO.1434⭕
Qurbani kis par wajib hai poori tafseel bataiye?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Har woh shakhs jo Musalman, aaqail, baalig, muqeem ho aur uske paas qurbani ke dino me ya'ani 10 zil hijjah se 12 vi zilhijjah ke gurub e aaftab tak 52.50 saadi bawan tola chandi ki qeemat [Aaj 18 zee qadah 1439 hijri ko India me surat ke rate se nisab 25350 Rs.] Ka zarurat se zaaid (extra) maal saamaan Qarz ki adaygi ke baad maujud ho to us par qurbani wajib hai.
*NOTE: -*
1.Qurbani ke nisab par saal guzarna zaruri nahin.
2.Qurbani wajib karne ke nisab me 3 jodi se zaaid kapdon ko, do Jodi se zaaid jute chappal ko, showcase aur uske zeenat (decorations) ke tamaam saamaan ko, Tv, extra plot, flats wagairah jo bechne ki aur isteamal ki cheezen nahin unki qeemat bhi shumar ki jayegi.
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH 18 ZEE QADAH 1439 HIJRI*
✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📲💻
https://aajkasawal.page.tl/
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment