*Hojadi aur aanten khana kaisa hai*
⭕Aaj ka sawal number 1459⭕
Hojadi (stomach) aur aanten (intestines) khana kaisa hai ?
Ba'az log hojadi (stomach) khate hain, ba'az log fenk dete hain, aur ba'az kitabon me hojadi khana haram likha hai is me saheeh kya hai?
🔵Jawab🔵
حامد و مصلیا و مسلما
Fuqahaa (masail ke maahir ulamaa) ne jin saat, aanth chizon ko manaa kiya hai usme aanten (intestines) aur hojadi (stomach) ko shumar nahin kiya hai, jo log mana'a karte hain unse fiqah ki arabi kitab ka hawala ibarat ke scan ke saath talab kiya jaye. Warna hojadi khana shar'an jaiz hai, khoob saaf kar ke khayen, jinko tabaee taur par paadandi na ho aur na khaye to koi haraj nahin, lekin use haraam kehna saheeh nahin.
📚Fatawa mahmoodiyah dabhel 17/293
Ba hawala
📗1. raddul mukhtar :shami kitabul khunsa , masaile shattah 749/6 saeed
📘2. Badaiyus sanaia, kitabuz zabaih2/272 darul kutub ilmiyyah berut
📕3. Fatawa alamgiriyyah kitabuz zabaih bab 3 5/290 rasheediyah
📙4. kitabul asar safa 179
Is hadis ki kitab me bhi Huzur ﷺ ne 7 cheezon ko hi makroohe tahrimi qaraar diya hai.
*Note: in kitabon ko barelwi hazrat bhi maante hain*
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon sahab
🕌Ustaaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India
📆10 Zulhijjah 1439 - 22/08/2018
💻📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm
No comments:
Post a Comment