*ALCOHOL MILA HUVA SCENT, SPARY BECHNA, LAGANA (ISTEAMAL KARNA)*
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1433⭕
Meri dukan par (spary) scent jo itr ki qism hai hai jisme alcohol daala jaata hai to alcohol mila huva itr, khushbu isteamal ki gunjaish hai?
Suna hai ke maujudah alcohol sharab wala nahin hota hai kya ye tehqiq sahih hai?
Isko bechne ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Alcohol agar kishmish aur khajoor se hasil kiya gaya hai to bil ittifaq najis (na-paak) hai
Aur agar inke alawah kisi dusri cheez se banaya gaya hai ho to shaikhain (Imam Abu Hanifah aur Imam Yusuf) Rahmatullahi alayhima ke nazdik paak aur Imam Muhammad Rahmatullahi alayhi ke nazdik na-paak hai,
Tehqiq se malum huva ke aaj-kal Alcohol ke liye angoor aur khajoor isteamal nahin ki jaati hain,
Lihaza shaikhain ke qaul ke mutabiq paak hai isliye alcohol mila huva scent (spary) isteamal aur bechna durust hai.
📗MAHMOODUL FATAWA 3/47
و الله اعلم بالصواب
*ISLAMI TAREEKH* : 17 ZEE QADAH 1439 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e Darul Uloom Rampura surat, Gujarat, India.
📲💻
http://aajkasawal.page.tl
Download Our Application
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islamic.group.kwsjhpvbkgbtlumfelua
No comments:
Post a Comment