Sunday, August 19, 2018

QURBANI KE JANWAR KA AIBDAR HO JANA

*QURBANI KE JANWAR KA AIBDAR HO JANA*

🔴SAWAL NO. 1453🔴

1⃣
Qurbani ka janwar kharida us waqt wo sahih saalim tha baad me aib peda ho gaya to kya hukm hai ??

2⃣
Janwar sahih tha lekin qurbani ke waqt uchhal kud me usme koi aib peda ho gaya to kya hukm hai ?? 

🔵jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣
Agar kharidte waqt janwar sahih saalim tha, baad me aib peda ho gaya to maal daar per us ki jagah dusra tandurust, be aib janwar qurbani karna zaruri hai

Aur agar faqeer hai to wohi janwar ki qurbani kar sakta hai..  dusra lana us per zaruri nahi.. 

2⃣
Jo janwar pehle se sahih saalim tha lekin qurbani ke liye koshish karte waqt uchal kud me aib hogaya to us ki qurbani me koi haraj nahi (maaldaar, garib sab ke liye)

📗Kitabul masail 2/240

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📆 6 zulhijjah 1439 - 18/08/2018

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Guj.hindi, urdu parchon ke liye www.deeneemalumat.net

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...