Friday, August 24, 2018

Qurbani ka waqt

*Qurbani ka waqt*

⭕Aaj ka Sawal no. 1460⭕

1⃣. Qurbani ke kon konse din hain ?

2⃣. Qurbani ka waqt kab se shuru hota hai ?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣. Qurbani ke 3 din he
10 /11/12 zilhajj (12 ki guroob e aaftab pehle) baad me qurbani hanfiyah ke nazdeek motabar nahin hai...

📚Kitabul masail 2/214 bahawala hindiyya wagera

2⃣. Qurbani ka asal waqt 10 zilhaj ki subah sadiq se shuru ho kar 12 zilhaj ke suraj ke gurub hone tak rehta he,
Albatta jahaan eid ki namaz hoti hai (jaise sheher, bada ganw)  waha eid ki namaz ke baad qurbani sahih hogi (us se pehle nahin)
Aur jahaan eid ki namaz na hoti ho jaise dihat, chhota gao waha subah sadiq ke baad qurbani sahih hai.

و الله اعلم بالصواب

📝M. Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📆11 zulhijjah 1439 - 23/08/2018

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Guj.hindi, urdu parchon ke liye www.deeneemalumat.net

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...