Wednesday, August 29, 2018

HAAJIYON KA ISTAQBAL KARNA AUR HAAJI KI MULAQAT*

*HAAJIYON KA ISTAQBAL KARNA AUR HAAJI KI MULAQAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1466⭕

🅰 Hajj karke aane wale haajiyon ke rishtedar, dost airport ya railway station par badi ta'daad me lene jaate hain, haaji ke baahar aate hi use phoolon se laad dete hain, unse gale milte hain, haaji sahab bhi haar pehne huve ek sajee sajaayi gaadi me dulhe ki tarah baith jate hain, galiyon aur mohallon, aur ghar ko bhi khoob sajaya jaata hai, jagah jagah Hajj Mubarak ke takhte lagaye jate hain, ba'az log to mukhtalif naarey bhi lagate hain, Ma'alum yeh karna hai ke in sab baaton ki sharaee haisiyat kya hai ? kyaa is tarah ikhlaas barqaraar rahega ?

🅱  Haaji ki mulaqat kaise karen ?

🔵JAWAB 🔵

حامد و مصلیا و مسلما

🅰 Haajiyon ka isteqbal achchhi baat hai, lekin yeh phool, naare, wagerah hudood [shariyat ki had] se tajawuz [aagey badhna] hai, agar haaji sahib ko dil me ujb [apne ko achchha ya kuchh samajhna] paida ho jaaye to hajj zaye’a [barbaad] ho jayega, is liye in chizon se aehtraz karna [bachna] chahiye.

📚Aap ke masail aur unka hal jild-4, safa 161.

🅱 Huzur e Aqdas صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai ke *jab kisi haaji se mulaqat ho to usko salaam karo, aur usse musafaha karo, aur isse pehle ke woh apne ghar me dakhil ho apne liye dua e magfirat ki usse darkhast karo, ke woh apne gunahon se paak saaf hokar aaya hai.

📚Musnade ahmed, mishqat.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

💻📲
http://aajkasawal.page.tl

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...