Wednesday, August 29, 2018

हाजियों का इस्तेकबाल करना और हाजी की मुलाक़ात*

*हाजियों का इस्तेकबाल करना और हाजी की मुलाक़ात*

⭕आज का सवाल न.१४६७⭕

🅰 हज करके आने वाले हाजियों के रिश्तेदार दोस्त एयरपोर्ट या रेलवे स्टेशन पर बड़ी ता'दाद में लेने जाते है, हाजी के बाहर आते ही उसे फूलों से लाड देते है, उनसे गले मिलते है, हाजी साहिब भी हार पहने हुवे एक सजी सजाई गाडी में दूल्हे की तरह बेठ जाते है, गलियों और मोहल्लों और घर को भी खूब सजाया जाता है, जगह जगह हज मुबारक के तख्ते लगाए जाते है, बाज़ लोग तो मुख्तलिफ नारे भी लगाते है.
मालुम ये करना है के इन सब बातों की शरई हैसियत क्या है ?
क्या इस तरह इखलास बरक़रार रहेगा ?

🅱 हाजी की मुलाक़ात कैसे करे ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

🅰 हाजियों का इस्तेकबाल अच्छी बात है, लेकिन ये फूल नारे वगैरह घुड़दौड़ [शरीयत की हद] से तजावुज़ [आगे बढ़ना] है, अगर हाजी साहिब को दिल में ऊजब [अपने को अच्छा या कुछ समझना] पैदा हो जाये तो हज जाए’ [बर्बाद] हो जायेगा, इस लिए इन चीज़ों से ऐहतराज़ करना [बचना] चाहिए.

📚आप के मसाइल और उनका हल जिल्द-४ सफा १६१.

🅱 हुज़ूर अक़दस ﷺ  का इरशाद है के जब किसी हाजी से मुलाक़ात हो तो उसको सलाम करो, और उससे मुसाफह करो, और इससे पहले के वो अपने घर में दाखिल हो अपने लिए दुआ ऐ मगफिरत की उससे दरखास्त करो,  के वह अपने गुनाहों से पाक साफ़ होकर आया है.

📚मुसनदे अहमद मिश्क़ात

و الله اعلم بالصواب

✏मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन

🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

HAAJIYON KA ISTAQBAL KARNA AUR HAAJI KI MULAQAT*

*HAAJIYON KA ISTAQBAL KARNA AUR HAAJI KI MULAQAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1466⭕

🅰 Hajj karke aane wale haajiyon ke rishtedar, dost airport ya railway station par badi ta'daad me lene jaate hain, haaji ke baahar aate hi use phoolon se laad dete hain, unse gale milte hain, haaji sahab bhi haar pehne huve ek sajee sajaayi gaadi me dulhe ki tarah baith jate hain, galiyon aur mohallon, aur ghar ko bhi khoob sajaya jaata hai, jagah jagah Hajj Mubarak ke takhte lagaye jate hain, ba'az log to mukhtalif naarey bhi lagate hain, Ma'alum yeh karna hai ke in sab baaton ki sharaee haisiyat kya hai ? kyaa is tarah ikhlaas barqaraar rahega ?

🅱  Haaji ki mulaqat kaise karen ?

🔵JAWAB 🔵

حامد و مصلیا و مسلما

🅰 Haajiyon ka isteqbal achchhi baat hai, lekin yeh phool, naare, wagerah hudood [shariyat ki had] se tajawuz [aagey badhna] hai, agar haaji sahib ko dil me ujb [apne ko achchha ya kuchh samajhna] paida ho jaaye to hajj zaye’a [barbaad] ho jayega, is liye in chizon se aehtraz karna [bachna] chahiye.

📚Aap ke masail aur unka hal jild-4, safa 161.

🅱 Huzur e Aqdas صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai ke *jab kisi haaji se mulaqat ho to usko salaam karo, aur usse musafaha karo, aur isse pehle ke woh apne ghar me dakhil ho apne liye dua e magfirat ki usse darkhast karo, ke woh apne gunahon se paak saaf hokar aaya hai.

📚Musnade ahmed, mishqat.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

💻📲
http://aajkasawal.page.tl

Tuesday, August 28, 2018

HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI

*HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1466⭕

Jin logon ki aamdani haraam hai un ke yahaan nokri karna jaiz hai ya nahin?

Isee tarah unko apni koi chhez bech kar un se paisa lena kaisa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jinki aamdani bilkul khalis haraam hai jaise sood lena, sharab bechna, zina ke liye ladkiyon ka intizam karna wagairah to unke yahaan nokri jaiz nahin aur jo tankhwah (salary) usme se milti hai woh halal nahin.

Isee tarah apni cheez unke haath bech kar usee male haraam se qeemat lena bhi halaal nahin.

Haan jin logon ki aamdani (aawak, income) shak wali ya haraam aur halaal mixed (miljhuli) ho ya'ani haraam cheez bhi bechte hai aur halaal cheez bhi lekin halaal cheez ziyadah bechte hai ya haraam ke saath dusra halaal kaarobar bhi hai aur uski aamdani ziyadah hai us waqt unke yahaan nokri karna aur apni cheez unke haath bechna jaiz hai basharte ke tankhwah ya qeemat halaal mal se den ya us maal se den jis me halaal ziyadah ho agarche aisa karna taqwe ke khilaf hai (ya'ani aisa paisa lene se bachna taqwa aur behtar hai)

📗JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249
 
و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

🌙16 ZUL HIJJAH 1439

📱💻http://aajkasawal.page.tl

📱💻http://aajkasawalgujarati.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.masaail

हराम आमदनी वालों की नौकरी

*हराम आमदनी वालों की नौकरी*

⭕आज का सवाल नं. १४६६⭕

जिन लोगों की आमदनी हराम है उनके यहां नौकरी करना जायज है या नहीं..?
इसी तरह उनको अपनी कोई चीज बेचकर उनसे पैसे लेना कैसा है..?

🔵 जवाब 🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

जिनकी आमदनी/आवक खालिस हराम है जैसे सूद लेना, शराब बेचना, जीना के लिये लड़कियों का इन्तेजाम करना वगैरह तो उनके यहां नौकरी जायज नहीं और जो तनख्वाह उसमें से मिलती है वो हलाल नहीं. इसी तरह अपनी चीज उनके हाथ बेचकर उसी माले हराम से कीमत लेना भी हलाल नहीं.

हां.. जिन लोगों की आमदनी शकवाली या हराम और हलाल मिक्स/मिलीजुली हो यानी हराम चीज भी बेचते है और हलाल चीज भी, लेकिन हलाल चीज ज्यादा बेचते है या हराम के साथ दूसरा कारोबार भी है और उसकी आमदनी ज्यादा है उस वक़्त उनके यहां नौकरी करना और अपनी चीज उनके हाथ बेचना जायज है, बशर्ते के तनख्वाह या कीमत हलाल माल से दे उस माल से दे जिसमें हलाल ज्यादा हो, अगरचे येह ऐसा तकवा के खिलाफ है. (यानी ऐसा पैसा लेने से बचना तकवा और बेहतर है)

📘 जदीद मुआमलात  के शरई अहकाम १/२४९

و الله اعلم بالصواب

📝 *मुफ्ती इमरान इस्माईल मेमन, हनफ़ी, चिश्ती*

🕌 उस्ताद दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, भारत

📲💻
www.aajkasawal.page.tl
www.aajkasawalhindi.page.tl

HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI

*HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1466⭕

Jin logon ki aamdani haraam hai un ke yahaan nokri karna jaiz hai ya nahin?

Isee tarah unko apni koi chhez bech kar un se paisa lena kaisa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jinki aamdani bilkul khalis haraam hai jaise sood lena, sharab bechna, zina ke liye ladkiyon ka intizam karna wagairah to unke yahaan nokri jaiz nahin aur jo tankhwah (salary) usme se milti hai woh halal nahin.

Isee tarah apni cheez unke haath bech kar usee male haraam se qeemat lena bhi halaal nahin.

Haan jin logon ki aamdani (aawak, income) shak wali ya haraam aur halaal mixed (miljhuli) ho ya'ani haraam cheez bhi bechte hai aur halaal cheez bhi lekin halaal cheez ziyadah bechte hai ya haraam ke saath dusra halaal kaarobar bhi hai aur uski aamdani ziyadah hai us waqt unke yahaan nokri karna aur apni cheez unke haath bechna jaiz hai basharte ke tankhwah ya qeemat halaal mal se den ya us maal se den jis me halaal ziyadah ho agarche aisa karna taqwe ke khilaf hai (ya'ani aisa paisa lene se bachna taqwa aur behtar hai)

📗JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249
 
و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

🌙16 ZUL HIJJAH 1439

📱💻http://aajkasawal.page.tl

📱💻http://aajkasawalgujarati.page.tl

📱💻http://www.aajkasawalhindi.page.tl

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.islam.group

📱💻
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.masaail

हाजी की दुआ की फ़ज़ीलत

*हाजी की दुआ की फ़ज़ीलत*

⭕आज का सवाल न. १४६५

हाजी से दुआ करवाने की क्या फ़ज़ीलत है और हाजी की दुआ कब तक क़ुबूल होती है ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

एक हदीस में आया है के मुजाहिद और हाजी अल्लाह का वफ्द जमा'त है, जो मांगते हैं वह उनको मिलता है, जो दुआ करते हैं क़बूल होती है.

हज़रत उमर रदी. की रिवायत में है के हाजी की दुआ ज़िल्हज्ज के अय्याम और मुहर्रम व सफर और *रबीउल अव्वल क १० दिन* तक क़ुबूल होती है.
📚मुसन्नफ़ इब्ने अबी शैबाह

एक रिवायत में है के हाजी की दुआ *२० रबी उल अव्वल* तक क़ुबूल होती है.
📚फ़ज़ाइल ए हज.

एक रिवायत में है क हाजी की दुआ मक्काः मुअज़्ज़मह में दाखिल होने से घर वापसी तक क़ुबूल होती है. और *क़ुबूलियत के मज़ीद ४० दिन* अता होते हैं.
📚किताब उल मसाइल जिल्द ३

पुराने बुज़ुर्गो का माअमूल था के वह हाजियों को रुखसत करने भी जाते थे और उन का इस्तिक़बाल भी करते थे और उन से दुआ की दरखास्त करते थे

و الله اعلم بالصواب

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

HA KE BAD HAJI KI DUA KI FAZEELAT

*HA KE BAD HAJI KI DUA KI FAZEELAT*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1465

Haaji se dua karvane ki kya fazilat hai aur haaji ki dua kab tak qubul hoti hai ?

🔵jawab🔵

Ek hadees me aaya hai ke mujahid aur haaji Allah ka wafd, jama'at hai, jo mangte hain woh unko milta hai, jo dua karte hain qabool hoti hai.

Hazrat Umar Rd. Ki Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua Zilhajj K Ayyam aur Muharram Va Safar aur *Rabiul Awwal K 10 Din* Tak Qubul Hoti Hai.

📚Musannaf Ibne Abi Shaibah

Ek Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua *20 Rabi Ul Awwal* Tak Qubul Hoti Hai.

📚Fazail E Hajj.

Ek Rivayat Me Hai K Haaji Ki Dua Makkah Muazzamah Me Dakhil Hone Se Ghar Vapsi Tak Qubul Hoti Hai. Aur *Qubuliyat K Mazid 40 Din* Ataa Hote Hain.

📚Kitab Ul Masail Jild / 3

Purane buzurgo ka ma'amul tha ke woh haajiyon ko rukhsat karne bhi jaate the aur un ka istiqbal bhi karte the aur un se dua ki darkhast karte the

و الله اعلم بالصواب

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

15 ZUL HIJJAH 1439. HIJRI

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

Guj.hindi, urdu parchon ke liye

Monday, August 27, 2018

हज से पहले उमराह

*हज से पहले उमराह*

⭕आज का सवाल नंबर १४६४⭕

इस्तेआत-ताक़त के बावजूद हज से पहले उमराह करना कैसा है?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

उमराह हज का बदल नहीं हे, जिस शख्स पर हज फ़र्ज़ हो उसके लिए ज़रूरी है के वो हज करे,

जीस शख्स को हज के दिनों में बैतुल्लाह तक पहुँचने और हज तक वहां रहने की ताक़त (खर्च्, इंतिज़ाम, इज़ाज़त) हो उस पर हज फ़र्ज़ हो जाता हे, इसलिए ऐसे शख्स को जो सिर्फ एक बार बैतुल्लाह शरीफ पहुँचने की तमन्ना रखता हो, हज पर जाना चहिये, उमराह के लिए सफर करना और फ़र्ज़ियत के बावजूद हज न करना बहुत गलत बात हे।

📚आपके मसाइल और उनका हल
जिल्द- ४, सफा ३८

و الله اعلم بالصواب

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

HAJJ SE PEHLE UMRAH

*HAJJ SE PEHLE UMRAH*

⭕Aaj ka sawal no. 1464⭕

Istita'at (taaqat, capability) ke bavjood haj se pehle umrah karna kaisa hai?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Umrah hajj ka badal nahin hai, jis shakhs par hajj farz ho uske liye zaruri hai ke woh hajj kare,

Jis shakhs ko hajj ke dino me baitullah tak pahunchne aur hajj tak wahaan rehne ki taaqat (kharch, intizam, ijazat) ho us per hajj farz ho jaata hai, isliye aise shakhs ko jo sirf ek baar Baitullah Sharif pahunchne ki tamanna rakhta ho, hajj par jaana chahiye, umrah ke liye safar karna aur farziyyat ke bavjood hajj na karna bahot galat baat hai.

📘Aapke Masail aur unka Hal, Jild- 4, Safa no 38

✒Mufti Imran Ismail Memon Sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura Surat Gujarat India

📆14/12/1439 hijri
     26/08/2018 isvi

📲💻
https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Sunday, August 26, 2018

TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL

*TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1463⭕

A. Tabeere tashreeq kab se kb tak kehni hai?

B. Kis par wajib hai?

C. akbeere tashreeq bhul jaye to kya hukm hai? Kab tak Padh sakte hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Takbeere tahreeq 9 zul hijjah ki fajr ki namaz se
lekar 13 zul hijjah ki asar tak Har farz amaz baad foran ek martaba *5* din me kul *23* farz namaz baad kehni wajib hai is saal 1439-2018 me mangal ki fajar se lekar sanichar ki asar tak padhhna wajib hai

B. Mard ho ya aorat, muqeem ho musafir ba jamat namaz pade ya tanha chahe masbooq ho (rakat chhuti ho) mard ko buland aawaz se aur aorton ko aahista aawaz se padhni chahiye.

C. Batchit na ki ho aur wuzu janbujh kar na toda ho to jab bhi yaad aaye padh le agarche Tasbeeh aur duaa mangne ke baad yad aaye balke sina qible se fir gaya to bhi aehtiyatan padh le han masjid se bahar nikal gaya ya janbujh kar wuzu tod diya ya baatchit kar li ho to ab wujoob saqit ho gaya ab na kahe.
و الله اعلم بالصواب

📗KITABUL MASAIL 3/334 se 335

📘DURRE MUKHTAR 3/61,63

*ISLAMI TAREEKH* : 14 ZUL HIJJAH  1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

तक्बीरे तशरीक़ के मसाइल

*तक्बीरे तशरीक़ के मसाइल*

⭕आज का सवाल न १४६३⭕

1⃣ तक्बीरे तशरीक़ कब से कब तक केहनी है?

2⃣ किस पर वाज़िब है?

3⃣ तक्बीरे तशरीक़ भूल जाये तो क्या हुक्म है? कब तक पढ़ सकते है?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1⃣तकबीरे तशरीक़ ९ ज़ुल हिज्जः की फ़जर की नमाज़ से
लेकर १३ ज़ुल हिज्जः की असर तक हर फ़र्ज़ नमाज़ बाद फ़ौरन एक मर्तबा *५* दिन में कुल *२३* फ़र्ज़ नमाज़ बाद केहनी वाज़िब है
इस साल १४३९-२०१८ में मंगल की फ़जर से लेकर सनीचर की असर तक पढना वाज़िब है।

2⃣ मर्द हो या औरत, मुक़ीम हो मुसाफिर बा जमात नमाज़ पढे या तनहा चाहे मस्बूक हो (रकत छुटि हो) मर्द को बुलंद आवाज़ से और औरतों को आहिस्ता आवाज़ से पढनी चहिये।

3⃣ बातचीत न की हो और वुज़ू जानबूझ कर न तोडा हो तो जब भी याद आये पढ़ ले, अगरचे तसबीह और दुआ माँगने के बाद याद आये बल्के सिना क़िब्ले से फिर गया तो भी एहतियातन पढ़ ले।
हाँ मस्जिद से बाहर निकल गया या जानबूझ कर वुज़ू तोड़ दिया या बातचीत कर ली हो तो अब वुजूब साक़ित हो गया अब न कहे।
و الله اعلم بالصواب

📗किताबुल मसाइल ३/३३४ से ३३५

📘दर्रे मुख़्तार ३/६१,६३

*इस्लामी तारिख* : १४ ज़ुल हिज्जः  १४३९ हिज्री

و الله اعلم بالصواب

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Friday, August 24, 2018

वक़्त पर क़ुरबानी न कर सका

*वक़्त पर क़ुरबानी न कर सका*

🔴आज का सवाल न १४६२🔴

1⃣
अगर वक़्त पर क़ुरबानी न कर सका तो अब क्या हुक्म हे ?

2⃣
क़ुरबानी वक़्त पर न कर सका तो बाद में बड़े जानवर में हिस्सा लेकर क़ुरबानी कर सकता हे ?

🔵जवाब🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
1⃣
अगर वक़्त पर क़ुरबानी न की जा सकी और जानवर पहले से मौजूद हे, तो उसी जानवर को ज़िंदा सदक़ा करना ज़रूरी हे, अगर जानवर मौजूद न हो तो पुरे जानवर की क़ीमत का सदक़ा लाज़िम हे।

2⃣
अगर क़ुरबानी वाजिब थी और क़ुरबानी के दिनों में नहीं किया, तो अब १ बकरे की क़ीमत गरीबो पर सदक़ा करना ज़रूरी हे। *यानि अब बड़े जानवर में हिस्सा नहीं ले सकता बल्कि पुरे जानवर की क़ीमत देनी ज़रूरी होगी*

📗मुस्तफ़द किताबुल मसाइल २/२२९)
و الله اعلم بالصواب

🖊मौलाना इब्राहिम अल्यानी साहब
✍🏻 तस्दीक़ मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Waqt par qurbani na kar sakna

*Waqt par qurbani na kar sakna*

🔴sawal no 1462🔴

1⃣ Agar waqt per qurbani na kar saka to ab kya hukm hai??

2⃣ Qurbani waqt per na kar saka to baad me bade janwar me hissah le kar qurbani kar sakta hai ??

🔵jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣ Agar waqt per qurbani na ki ja saki aur janwar pehle se mawjud hai to usi janwar ko zindah sadqah karna zaruri hai,  aur agar janwar mawjud na ho to poore janwar ki qimat ka sadqah lazim hai.

2⃣ Agar qurbani wajib thi aur qurbani ke dino me nahi kiya to ab 1 bakre ki qimat garibo per sadqah karna zaruri hai..

Ya'ani ab bade janwat me hissah nahin le sakta balke pure janwar ki qimat deni zaruri hogi..

📘Mustafad kitabul masail 2/229

و الله اعلم بالصواب

📝Maulana Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

📆12 zulhijjah 1439 - 24/08/2018

🕌Ustaaze Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Guj.hindi, urdu parchon ke liye www.deeneemalumat.net

TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL

*TAKBEERE TASHREEQ KE MASAIL*

⭕ AAJ KA SAWAL NO.1463⭕

A. Tabeere tashreeq kab se kb tak kehni hai?

B. Kis par wajib hai?

C. akbeere tashreeq bhul jaye to kya hukm hai? Kab tak Padh sakte hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما
Takbeere tahreeq 9 zul hijjah ki fajr ki namaz se
lekar 13 zul hijjah ki asar tak Har farz amaz baad foran ek martaba *5* din me kul *23* farz namaz baad kehni wajib hai is saal 1439-2018 me mangal ki fajar se lekar sanichar ki asar tak padhhna wajib hai

B. Mard ho ya aorat, muqeem ho musafir ba jamat namaz pade ya tanha chahe masbooq ho (rakat chhuti ho) mard ko buland aawaz se aur aorton ko aahista aawaz se padhni chahiye.

C. Batchit na ki ho aur wuzu janbujh kar na toda ho to jab bhi yaad aaye padh le agarche Tasbeeh aur duaa mangne ke baad yad aaye balke sina qible se fir gaya to bhi aehtiyatan padh le han masjid se bahar nikal gaya ya janbujh kar wuzu tod diya ya baatchit kar li ho to ab wujoob saqit ho gaya ab na kahe.
و الله اعلم بالصواب

📗KITABUL MASAIL 3/334 se 335

📘DURRE MUKHTAR 3/61,63

*ISLAMI TAREEKH* : 14 ZUL HIJJAH  1439 HIJRI

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://www.aajkasawal.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

Telegram channel :
Https://t.me/AajKaSawalJawab

Qurbani ka waqt

*Qurbani ka waqt*

⭕Aaj ka Sawal no. 1460⭕

1⃣. Qurbani ke kon konse din hain ?

2⃣. Qurbani ka waqt kab se shuru hota hai ?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1⃣. Qurbani ke 3 din he
10 /11/12 zilhajj (12 ki guroob e aaftab pehle) baad me qurbani hanfiyah ke nazdeek motabar nahin hai...

📚Kitabul masail 2/214 bahawala hindiyya wagera

2⃣. Qurbani ka asal waqt 10 zilhaj ki subah sadiq se shuru ho kar 12 zilhaj ke suraj ke gurub hone tak rehta he,
Albatta jahaan eid ki namaz hoti hai (jaise sheher, bada ganw)  waha eid ki namaz ke baad qurbani sahih hogi (us se pehle nahin)
Aur jahaan eid ki namaz na hoti ho jaise dihat, chhota gao waha subah sadiq ke baad qurbani sahih hai.

و الله اعلم بالصواب

📝M. Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📆11 zulhijjah 1439 - 23/08/2018

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

Guj.hindi, urdu parchon ke liye www.deeneemalumat.net

क़ुरबानी का वक़्त

*क़ुरबानी का वक़्त*

⭕आज का सवाल न. १४६०⭕

1⃣. क़ुरबानी के कोन कोन से दिन हैं ?

2⃣. क़ुरबानी का वक़्त कब से शुरू होता है ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1⃣. क़ुरबानी के ३ दिन १० /११/१२ ज़िल्हज्ज (१२ की शाम तक) इस से पहले या बाद में क़ुरबानी मोअतबर नहीं है..
📚किताबुल मसाइल २/२१४ बहवला हिंदियया वगेर

2⃣. क़ुरबानी का असल वक़्त १० ज़िल्हाज की सुबह सादिक़ से शुरू हो कर १२ ज़िल्हाज के सूरज के गुरुब होने तक रहता हे, जहां ईद की नमाज़ होती है (जैसे शहर बड़ा गाँव)  वहाँ ईद की नमाज़ के बाद क़ुरबानी सहीह होगी (उस से पहले नहीं)और जहां ईद की नमाज़ न होती हो जैसे दिहात छोटा गाँव वहाँ सुबह सादिक़ के बाद क़ुरबानी सहीह है.

📝मौलाना इब्राहिम अल्यानी साहब

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 तस्दीक़ मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Thursday, August 23, 2018

होज़दी और आँतें खाना

*होज़दी और आँतें खाना*

⭕आज का सवाल नंबर १४५९⭕

होज़दी (स्तोमच) और आंतें (इंटेस्टिनेस) खाना कैसा है ?
बा'ज़ लोग होज़दी (स्तोमच) खाते हैन, बा'ज़ लोग फेंक देते है,
और बा'ज़ क़िताबों में होज़दी खाना हराम लिखा है।
इस में सहीह क्या है ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

फ़ुक़हा (मसाइल के माहिर उलामा) ने जिन सात, आठ चिज़ों को मना किया है उस में आँतें (इंटेस्टिनेस) और होज़दी (स्तोमच) को शुमार नहीं किया है,
जो लोग मना करते हैं उनसे फ़िक़ह की अरबी किताब का हवाला इबरत के स्कैन के साथ तलब किया जाये।
वरना होज़दी खाना शर'अन जाइज़ है,

खूब साफ़ कर के खाये, जिन को तबई तौर पर पाबंदी न हो और न खाये तो कोई हरज नही, लेकिन उसे हराम केहना सहीह नहीं।

📚फतावा महमूदियाः दाभेल १७/२९३

बा हवाला
📗१ रद्दुल मुख़्तार :शामी किताबुल खुंसा , मसाइल शत्ताह ७४९/६ सईद

📘२ बदायूस सानया, किताबुज जबाईह २/२७२ दारुल क़ुतुब इल्मिययह बेरूट

📕३ फ़तावा आलमगिरिययह किताबुज जबयह बाब ३ ५/२९० राशीदियह

📙४ किताबुल असर सफा १७९

इस हदीस की किताब में भी हुज़ूर ﷺ ने ७ चीज़ों को ही मकरूहे तहरीमी क़रार दिया है।

*नोट: इन किताबों को बरेलवी हज़रात भी मानते हैं*

و الله اعلم بالصواب

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Hojadi aur aanten khana kaisa hai

*Hojadi aur aanten khana kaisa hai*

⭕Aaj ka sawal number 1459⭕

Hojadi (stomach) aur aanten (intestines) khana kaisa hai ?

Ba'az log hojadi (stomach) khate hain, ba'az log fenk dete hain, aur ba'az kitabon me hojadi khana haram likha hai is me saheeh kya hai?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Fuqahaa (masail ke maahir ulamaa) ne jin saat, aanth chizon ko manaa kiya hai usme aanten (intestines) aur hojadi (stomach) ko shumar nahin kiya hai, jo log mana'a karte hain unse fiqah ki arabi kitab ka hawala ibarat ke scan ke saath talab kiya jaye. Warna hojadi khana shar'an jaiz hai, khoob saaf kar ke khayen, jinko tabaee taur par paadandi na ho aur na khaye to koi haraj nahin, lekin use haraam kehna saheeh nahin.

📚Fatawa mahmoodiyah dabhel 17/293

Ba hawala
📗1. raddul mukhtar :shami kitabul khunsa , masaile shattah 749/6 saeed

📘2. Badaiyus sanaia, kitabuz zabaih2/272 darul kutub ilmiyyah berut

📕3. Fatawa alamgiriyyah kitabuz zabaih bab 3 5/290 rasheediyah

📙4. kitabul asar safa 179

Is hadis ki kitab me bhi Huzur ﷺ ne 7 cheezon ko hi makroohe tahrimi qaraar diya hai.

*Note: in kitabon ko barelwi hazrat bhi maante hain*

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📆10 Zulhijjah 1439 - 22/08/2018

💻📲https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Tuesday, August 21, 2018

Berune mulk (foreign) ki qurbani india me

*Berune mulk (foreign) ki qurbani india me*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1455⭕

A.
Hamare yahaan u.k. Me 10 zil hijjah ya'ani eid ka din ho aur hamen apni qurbani india me usee din karni ho, halan ke us din india me 9 zilhijjah ho to hamari qurbani india me us din ho sakti hai ya nahin ?

B.
Agar makkah me 13 zil hijjah ho ya'ani qurbani ka waqt nikal gaya ho aur india me 12 zil hijjah ho ya'ani qurbani ka waqt baaki ho to is surat me agar koi haji apni qurbani india me karaye to sahih hogi ya nahin ?

🔵Jawab🔵

A.
Jabtak ke india me
Qurbani ke din shuru'a na ho yahan dusre mulk walon ki qurbani sahih nahin hai. Kyun ke qurbani sahih hone ke liye malik aur janwar dono ka fil jumlah aetibar hai ya'ani muakkil ya'ani qurbani karvane wale par qurbani ka wujoob aana chahiye aur janwar jahan hai wahan qurbani ka waqt hona chahiye. Puchhi hui surat me uk wala jo qurbani karva raha hai us ke zimme to qurbani ka wujoob aa gaya hai lekin india me jahan janwar hai wahan qurbani ka waqt nahin aaya hai lihaza uk wale ki qurbani india me 9 zihijjah ko ek din pehle nahin ho sakti hai qurbani sahih hone ke liye india me bhi 10 zihijjah hona zaruri hai.

B.
Mazkoorah surat me qurbani sahih hai us ki pehli wajah

Makkah me 13 zil hijjah hone ki surat me sababe wujoob ya'ani jiske zimme qurbani ho uska qurbani ke dinon me qurbani par qadir hona yeh us haji ke haq me pehle hi se paya gaya aur dusri shart wujoobe adaa ya'ani qurbani ke waqt ka maujud hona. Janwar india me maujud hai yeh shart bhi yahan pai gayi lihaza bila shak woh haji apni qurbani ka vakil kisi ko india me bana de to 12 zil hijjah ko bhi us ki qurbani sahih hai.

Dusri wajah agar woh qurbani ka vakil banane wala khud 13 zilhijjah ko makkah se safar kar ke india aata aur yahan12 zilhijjah ko qurbani karta to durust tha to wahan rehkar vakil banaye to batarike awla hoga.

📚Kitabun nawazil 14/553 se 558 ka khulasah

✏Mufti imran ismail memon ustaze darul uloom rampura surat gujrat india

क़ुरबानी में वलीमे या अक़ीक़ा का हिस्सा हराम कमाई वाले का क़ुरबानी में हिस्सा

*क़ुरबानी में वलीमे या अक़ीक़ा का हिस्सा*

*हराम कमाई वाले का क़ुरबानी में हिस्सा*

🔴आज का सवाल नंबर १४५६🔴

1⃣. क़ुरबानी में वलीमे या अक़ीक़ा का हिसा ले सकते हें ?

2⃣. बड़े जानवर में ७ हिस्से होते है, उन ७ लोगो में से किसी एक का पैसा अगर हराम कमाई का हो तो  क्या बाक़ी के ६ की क़ुरबानी सहीह होगी ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

1⃣. जी हां, वलीमा सुन्नत है सवाब है, उस का हिस्सा रख सकते है, इसी तरह अक़ीक़े का भी रख सकते ह।।
📚मुस्तफ़द किताबुल मसाइल २,२३३)

2⃣. हज़रत मुफ़्ती सलमान मन्सूरपूरी साहब और दूसरे मुफ्तियाने किराम का कहना है के सब की क़ुरबानी इस सूरत में भी सहीह हो जाएगी।
📚 किताबुल नवाज़िल २२/ ३३४ से ३३६ से माखूज़

و الله اعلم بالصواب

✍🏻मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन
🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲💻
https://aajkasawal.page.tl/

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

🔮Telegram channel🔮
Https://t.me/AajKaSawalJawab

QURBANI ME VALIMAH YA AQIQAH KA HISAAH RAKHNA

*QURBANI ME VALIMAH YA AQIQAH KA HISAAH RAKHNA*

🔴Aaj ka sawal No.1456🔴

1. Qurbani me valimah ya aqiqah ka hissah rakh sakte hain??

2. Bade janwar me 7 hisse hote hain, un 7 logo me se kisi ek ka paisa agar haraam kamayi ka ho to kya baaqi ke 6 ki qurbani sahih hogi ?

🔵Jawab🔵

حامد و مصلیا و مسلما

1. Ji haan, Valimah sunnat hai, sawab hai, us ka hissah rakh sakte hain, isee tarah aqiqah hissah ka bhi rakh sakte hain..

📚Mustafad kitabul masail 2,233)

2..
MUFTI SALMAN MANSOORPURI AUR DUSRE MUFTIYANE KIRAAM KE KEHNA HAI KE SAB KI QURBANI IS SURAT ME BHI SAHIH HO JAYEGI AUR INKI DALEEL BHI MAZBOOT HAI.
📕 KITABUL NAWAZIL 22/ 334 SE 336 SE MAKHOOZ

✒Mufti Imran Ismail Memon Sahab

🕌Ustad e Darul Uloom, Rampura, Surat, Gujarat, India

📆8 Zulhijjah 1439 - 20/08/2018

📲💻
https://aajkasawal.page.tl/

http://www.aajkasawalhindi.page.tl

http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

🔮Telegram channel:🔮
https://t.me/AajKaSawalJawab

Qurbani ki khaal ka hukm

*Qurbani ki khaal ka hukm*

⭕Aaj ka sawal no. 1457⭕

1⃣. Qurbani ki khaal apne kaam me laa sakte hain ?
Khud rakh sakte hain ?

2⃣. Qurbani ke janwar ki khaal masjid, Madarsah me de sakte hain ?

3⃣. Imam sahab aur muazzin sahab ko khaal de sakte hain ?

🔵Jawab🔵

1⃣. Jee haan, qurbani ki khaal apne isteamal me la sakte hain, agar bech den to fir iski qimat garib ko dena lazim hoti hai.

📚Kitabul masail 2/250

2⃣. Janwar ki khaal jab tak beche nahi tab tak woh gosht ki tarah hai aur usi ke hukm hai, ya'ani aap jis tarah gosht kisi ko bhi de sakte hain usi tarah khaal bhi de sakte hain.(fir jisko khaal de di woh chahe to bech sakta hai) albatta agar paiso se bech den to fir woh zakat ki tarah ho jati hai. Ya'ani ab usko garib mustahiq logo ko malik bana kar dena zaruri hai. Masjid me khaal nahin de sakte kyun ke usme koi malik nahin  ban raha hai, aur Madarsah me dena jaaiz balke afzal hai,  kyun ke woh khaal bechkar uske paise Madarsah me padhne wale bacho par kharch kiye jate hain (uska aur ilm ko felane ka sawab aap ko bhi milega) isee tarah dusri koi tanzim, jamaat ko dene ka yahi hukm hai ke agar woh bech kar garibo ko paise ya kitaben, kapde, makan malik bana kar dete hain to unko de sakte hain, warna nahin.

Ya'ani malik banakar nahin deta balke in cheezon ko kiraye se ya sirf free me isteamal ke liye dete hai ya us raqam ko khud jamat ke kamon me bataure qarz isteamal karte rehte hain to aisi tanzim wa jamat ko nahin dena chahiye.

Aur khaal bechne ke baad yeh paise garibon ko jahaan tak ho sake jald se jald malik bana kar dekar apni zimmedari se chhutkara hasil kare, sharaee wajah bagair takheer karna karahat-makrooh hone se khali nahin.

📚Mustafad az  aap ke masail aur un ka hal 5/466

📚Fatawa raheemiyah karanchi 10/42 se mustafad

3⃣. Imam, muazzin, wagera hazraat ko unki tankhah me khaal nahin de sakte, un ki tankhah aur ujrat alag se hai, aise hi khushi se de rahe hain to de sakte hain. (Aur woh hazraat bech kar uske paise isteamal kar sakte hain)

📚Mustafaz az aap ke masail our un ka hal 5/466

و الله اعلم بالصواب

🗓09 zilhijjah, 1439 hijri

📝M. Ibrahim Alyani Sahab

✏Tasdeeq Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

📲💻
https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

क़ुरबानी की खाल का हुक्म

*क़ुरबानी की खाल का हुक्म*

⭕आज का सवाल न.१४५७⭕

१.
क़ुरबानी की खाल अपने काम में ला सकते हैं ? खुद रख सकते हैं ?

२.
क़ुरबानी के जानवर की खाल मस्जिद मदरसा में दे सकते हैं ?

३.
इमाम साहब और मुअज़्ज़िन साहब को खाल दे सकते हैं ?

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

१.
जी हा,  क़ुरबानी की खाल अपने इस्तेमाल में ला सकते हैं, अगर बेच दें तो फिर इसकी क़ीमत गरीब को देना लाज़िम होती है.

📚किताबुल मसाइल २/२५०

२.
जानवर की खाल जब तक बेचे नहीं तब तक वह गोश्त की तरह है और उसी के हुक्म है यानी आप जिस तरह गोश्त किसी को भी दे सकते हैं उसी तरह खाल भी दे सकते हैं.(फिर जिसको खाल दे दी वह चाहे तो बेच सकता है) अलबत्ता अगर पैसो से बेच दें तो फिर वह ज़कात की तरह हो जाती है. यानी अब उसको गरीब मुस्तहिक़ लोगो को मालिक बना कर देना ज़रूरी है. मस्जिद में खाल नहीं दे सकते क्यों के उसमे कोई मालिक नहीं बन रहा है और *मदरसा में देना जाइज़ बल्कि अफ़ज़ल है* के वह खाल बेचकर उसके पैसे मदरसा में पढ़ने वाले बच्चों पर खर्च किये जाते हैं (उसका और इल्म को फैलाने का सवाब आप को भी मिलेगा) इसी तरह दूसरी कोई तंज़ीम जमात को देने का यही हुक्म है के अगर वह बेच कर गरीबो को पैसे या किताबें कपडे मकान मालिक बना कर देते हैं तो उनको दे सकते हैं वरना नहीं. यानी मालिक बनाकर नहीं देता बल्कि इन चीज़ों को किराये से या सिर्फ फ्री में इस्तेमाल के लिए देते है या उस रक़म को खुद जमात के कामों में बतौर क़र्ज़ इस्तेमाल करते रहते हैं तो ऐसी तंज़ीम व जमात को नहीं देना चाहिए.और खाल बेचने के बाद यह पैसे गरीबों को जहां तक हो सके जल्द से जल्द मालिक बना कर देकर अपनी ज़िम्मेदारी से छुटकारा हासिल करे, शरई वजह बगैर ताख़ीर करना कराहट-मकरूह होने से खाली नहीं.

📚मुस्तफ़द अज़  आप के मसाइल और उन का हल ५/४६६
📚फतावा रहीमियह करांची १०/४२ से मुस्तफ़द

३.
इमाम मुअज़्ज़िन वगेरा हज़रात को उनकी तनखाह में खाल नहीं दे सकते, की तनखाह और उजरत अलग से है, *ऐसे ही ख़ुशी से दे रहे हैं तो दे सकते हैं.* (और वह हज़रात बेच कर उसके पैसे इस्तेमाल कर सकते हैं)

📚मुस्तफ़द अज़ आप के मसाइल और उन का हल ५/४६६

📝मौलाना इब्राहिम अल्यानी साहब

و الله اعلم بالصواب

✏तस्दीक़
मुफ़्ती इमरान इस्माइल मेमन

🕌उस्ताज़े दारुल उलूम रामपुरा, सूरत, गुजरात, इंडिया.

📲💻
https://aajkasawal.page.tl/HAJ_QURBANI.htm

Monday, August 20, 2018

HAJ KA MUKHTASAR TARIQAH

*HAJ KA MUKHTASAR TARIQAH*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1454⭕

Ayyam e hajj kon se hain ?

Ayyam e hajj mein kya kya kaam karne hote hain ?

Tafsil se batane ki guzarish.

🔵Jawab🔵

حامداؤمصلیا و مسلما

8, 9, 10, 11, 12 zilhajj ayyam e hajj hain.

Hajj ka pehla din 8⃣ Zulhijjah hai. is roz apni qiyam gaah hi se haji gusal kar ke ahram bandh lenge. Ahraam ki nafal padhen aur hajj ki niyyat se talbiyah padhte huve mina ki taraf rawanah ho jayenge. Aur mina puhanch kar zuhar, asar, maghrib aur isha ki namazen apne khaime hi me ba-jama'at adaa karen, kasrat se talbiyah padhte rahe. Raat mina hi me qayaam karna sunnat hai. 

Hajj ka dusra din 9⃣ Zulhijjah hai. Is roz fajar ki namaz mina me padh kar maidaan e arafat ko rawangi hogi. Zawal ke baad wuqoof e arafat ka waqt shuru hoga. is waqt khoob ro ro kar apne gunahon se taubah ki jaye.Hanafi haaji zuhar aur asar ki namaz apne apne khaimon me uske waqt me adaa kar le, aur apna waqt Allah ta'ala ko yaad karte huve aur apne aziz o aqarib aur apne watan e aziz ki salaamati ke liye ziyadah se ziyadah duaen karte huve guzare. Ghuroob aaftab ke ba'ad maghrib ki namaz padhe begair muzdalifah ko rawanah ho jaye. Muzdalifah pahuch kar maghrib aur isha ki namaz isha ke waqt me ek azan aur ek iqamat ke saath adaa ki jaye. magrib ki sunnaten isha baad padhe, Raat muzdalifah hi me guzare. Muzdalifah jaate huve waadi e muhassar (jahaan abraha ka hathiyon ka lashkar tabaah huva tha) ke paas se guzrte waqt tezi se istaghfaar padhte huve guzar jaye.

Hajj ka teesra din 🔟 Zulhijjah hai. Muzdalifah me wuqoof ke ba'ad jis ka wajib waqt subah sadiq se lekar tulooa e aaftab se pehle pehle kuchh der ka hota hai fajar ki namaz adaa kar ke mina rawana ho jaye aur Tulooe aftab se lekar guroobe aftab tak bahot bhid ho to sab ko warna aurton aur  kamzoron ko subah sadiq se pehle pehle sirf jamarah e aqbah (bade shaitaan) ko kankaryan maarni hai. 70 Kankaryan raat ko muzdalifah hi se utha le. Bade shaitan ko saat (7) kankaryan ek ek kar ke maarni hai. Jamaraat ko kankaryan marne ko rami kahaa jata hai. Rami e jamraat ke ba'ad qurbani ki jaye. Qurbani karne ke liye behtar yeh hai ke saudi hukumat ke zere intezaam qurbani ki raqam muatabar Hanafi contractor ko jamaa karvadi jaye. Khud qurbani kar sakta ho to ziyadah behtar hai Qurbani karne ke ba'ad ya us ki ittilaa milne ke baad sar ke baal mundwaye ya katarwa le, albattah aurten apne sar ki choti ke tamaam baalon ko milakar bal ko ek ungli ki pore (ek inch) ke baraabar khud kaat le ya apne mahram se katwa len. Ab ahraam ki pabandiyan khatam ho jayegi sirf bivi halal na hogi  jab tak tawaf e ziyarat na kar len nahaa-dho kar apna aam libas pahan liya jaye. Is ke ba'ad agar himmat aur taaqat ho to isi roz warna 1⃣1⃣, 1⃣2⃣ Zul hajj ko tawaaf e ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jayen. Ziyadah behtar yeh rahta hai ke 1⃣1⃣ Zulhijjah ko subah subah tawaf ziyarat ke liye makkah mukaramah chale jaye aur wahaan se wapasi me zawal ke ba'ad teeno jamaraat (teeno shaitaano ) ko saat saat (7-7) kankariyan marte huve apne khaimon me chale jayen.

 Tawaf e ziyarat 🔟 Zulhijjah se lekar 1⃣2⃣ Zulhijjah tak ghoroob aaftab se pehle pehle tak kiya ja sakta hai.

Tawaaf e ziyarat ke ba'ad sayee bhi karni hogi. 🔟 Zulhijjah ka din guzar ne ke ba'ad raat mina hi me qayaam karna hoga.

Hajj ka chautha din 1⃣1⃣ Zulhijjah hai. Mina me zawal se lekar guroob e aaftab tak behtar waqt ya subah sadiq se pehle jaiz waqt me jamarah e ulaa (chhota shaitan) fir jamarah e wustah (darmiyana shaitan) fir jamarah e aqbah (badaa shaitan) ko 7⃣, 7⃣ kankaryan ek ek kar ke marni hai. Raat ko mina hi me qayaam karna hoga. 

Hajj ka panchwan din 1⃣2⃣ Zulhijjah hai. Mina me zawal ke ba'ad se gurube aaftab tak behtar waqt me ya subah sadiq tak jaiz waqt me teeno jamaraat ko tarteeb war ek ek karke saat kankariyan marni hain aur ghuroob e aaftab se pehle pehle mina ki hudood (border) se bahaar nikal jaana behtar hai. Warna subah sadiq ho gayi to phir mina hi me thehrna (qayaam karna) wajib hoga aur 13 zilhajj ko bhi rami e jamarat karni hogi.

Ayyam e hajj me agar kisi Aurat ko mahwari (m.c., ayyam) shuru ho jayen to woh hajj ke tamaam af'aal bajaa laave, siwaye tawaf e ziyarat ke, paak hone ke ba'ad woh tawaaf aur saee kare. Majburi me taakhir ki wajah se aurat par koi kaffarah nahin hoga. Rami mard aur aurat ko khud karna hogi . Watan rawaanagi se pehle tawaaf e widaa karna bhi zaruri hai.

📗Anware manasik,mualimul hujjaj me se khulasah

👏🏻Ye msg aap ke koi ta'alluk wala hajj ko gaya ho to use zarur bhejen ho sakta hai ke ise padh kar usko hajj me sahulat ho jaaye.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📆 7 zulhijjah 1439 - 19/08/2018

📲💻
http://aajkasawal.page.tl

🔮Telegram channel:🔮
https://t.me/AajKaSawalJawab

हज का मुख़्तसर तरीकाः

*हज का मुख़्तसर तरीकाः*

⭕आज का सवाल न.१४५४⭕

अय्याम ए हज कोन से है ?
अय्याम ए हज में क्या क्या काम करने होते हैं ?
तफ्सील से बताने की गुज़ारिश.

🔵जवाब🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

८ ९ १० ११ १२ ज़िल्हज्ज अय्याम ए हज हैं.


*हज का पहला दिन* ८ ज़िल्हज्ज है. इस रोज़ अपनी क़ियाम गाह ही से हाजी गुसल कर के अहराम बांध लेंगे. अहराम की नफल पढ़ें और हज की निय्यत से तल्बियह पढ़ते हुवे मीना की तरफ रवाना हो जायेंगे. और मीना पुहंच कर ज़ुहर असर मग़रिब और ईशा की नमाज़ें अपने खेमे ही में बा जमा'त अदा करें, कसरत से तल्बियह पढ़ते रहे. रात मीना ही में क़याम करना सुन्नत है. 


*हज का दूसरा दिन* ९ ज़िल्हज्ज है. इस रोज़ फजर की नमाज़ मीना में पढ़ कर जिस वक़्त भी मोअल्लिम ले जाये मैदान ए अराफात को रवानगी होगी. ज़वाल के बाद वुक़ूफ़ ए अराफात का वक़्त शुरू होगा. इस वक़्त खूब रो रो कर अपने गुनाहों से तौबह की जाये. हनफ़ी हाजी ज़ुहर और असर की नमाज़ अपने अपने खेमों में उस के वक़्त में अदा कर ले, और अपना वक़्त अल्लाह ता'अला को याद करते हुवे और अपने अज़ीज़ अक़ारिब और अपने वतन ए अज़ीज़ की सलामती के लिए ज़ियादह से ज़ियादह दुआएं करते हुवे गुज़ारे. ग़ुरूब आफ़ताब के बाद मग़रिब की नमाज़ पढ़े बग़ैर मुज्दलिफा को रवाना हो जाये. मुज्दलिफा पहुंच कर मग़रिब और ईशा की नमाज़ ईशा के वक़्त में अदा की जाये. एक अज़ान और एक इक़ामत के साथ रात मुज्दलिफा ही में गुज़ारे. मुज्दलिफा जाते हुवे वादी ए मुहासार जहां अब्रहा का हाथियों का लश्कर तबाह हुवा था) के पास से गुज़रते वक़्त तेज़ी से इस्तग़फ़ार पढ़ते हुवे गुज़र जाये.


*हज का तीसरा दिन* १० ज़िल हज है.  मुज्दलिफा में वुक़ूफ़ के बाद जिस का वाजिब वक़्त सुबह सादिक़ के बाद से तलुए आफताब से पहले तक  का होता है, फजर की नमाज़ अदा कर के मीना रवाना हो जाये, तलुए आफताब के बाद से सुबह सादिक से पहले पहले सिर्फ जमराह ए अक़बह (बड़े शैतान) को कंकरियां मारे. कंकरियां रात को मुज्दलिफा ही से उठा ले. बड़े शैतान को सात (७) कंकरियां एक एक कर के मारनी है. जमारात को कंकरियां मारने को रमी कहा जाता है. रमी ए जमरात के बाद क़ुरबानी की जाये. क़ुरबानी करने के लिए बेहतर यह है के सऊदी हुकूमत के ज़ेरे इंतज़ाम मुअतमाद आदमी को  क़ुरबानी की रक़म जमा करवादी जाये. जो आप के रमी करने के बाद फोन पर इत्तेला पा कर क़ुरबानी करके आप को क़ुरबानी हो जाने की इत्तेला दे,  क़ुरबानी करने के बाद सर के बाल मुंडवाए या कटवा ले अल्बत्ताह औरतें अपने सर की चोटी के तमाम बालों को मिलकर बाल को एक ऊँगली की पोर के बराबर खुद काट ले या अपने मेहरम से कटवा लें.

अब अहराम की पाबंदियां ख़तम हो जाएगी, सिर्फ बीवी हलाल न होगी,  जब तक तवाफ़ ए ज़ियारत न कर लें, नहा-धो कर अपना आम लिबास पहन लिया जाये. इस के बाद अगर हिम्मत और ताक़त हो तो इसी रोज़ वरना ११ १२ ज़िल हज को तवाफ़ ए ज़ियारत के लिए मक्का मुकर्रम चले जाएँ. ज़ियादह बेहतर यह रहता है के ११ ज़िल हज को सुबह सुबह तवाफ़ ज़ियारत के लिए मक्का मुकर्रम चले जाये और वहाँ से वापसी में ज़वाल के बाद तीनो जमारात (तीनो शैतानो  को सात सात (७-७) कंकरियां मारते हुवे अपने खेमों में चले जाएँ. तवाफ़ ए ज़ियारत १० ज़िल्हज्ज से ले कर १२ ज़िल्हज्ज तक ग़ुरूब आफ़ताब से पहले पहले तक किया जा सकता है.

तवाफ़ ए ज़ियारत के बाद सई भी करनी होगी. १० ज़िल हज का दिन गुज़रने के बाद रात मीना ही में क़याम करना होगा.


*हज का चौथा दिन* ११ ज़िल्हज्ज है. मीना में ज़वाल से लेकर गुरूबे आफ़ताब तक बल्कि औरतों और बूढ़ो को और बहोत ही भीड़ में सब को सुबह सादिक तक जमराह ए उला (छोटा शैतान) फिर जमराह ए वुसताह (दरमियाना शैतान) फिर जमराह अक़बह (बड़ा शैतान) को ७ ७ कंकरियां एक एक करके मारनी है, रात को मीना ही में क़याम करना होगा. 


*हज का पांचवां दिन* १२ ज़िल्हज्ज है. मीना में ज़वाल के बाद से गुरुबे आफ़ताब तक अफ़ज़ल, और सुबह सादिक तक जाइज़ वक़्त में तीनो जमारात को तरतीब वार एक एक कर के सात कंकरियां मारनी है और सुबह सादिक़ से पहले पहले मीना की हदूद (बॉर्डर) से बाहिर निकल जाना है. वरना फिर मीना ही में ठहरना (क़याम करना) होगा और १३ ज़िल्हज्ज को भी रमी ए जमारात करनी होगी.
अय्याम ए हज में अगर किसी *औरत को माहवारी एमसी अय्याम शुरू हो जाएं तो वह हज के तमाम अफआल बजा लावे, सिवाए तवाफ़े ज़ियारत के, पाक होने के बाद वह तवाफ़ और सई करे. मजबुरी में ताख़ीर की वजह से औरत पर कोई कफ़्फ़ाराह नहीं होगा. रमी मर्द और औरत को खुद करना होगी, वतन रवानगी से पहले तवाफ़ ए वदा करना भी ज़रूरी है.

📗अनवारे मनासिक मुअल्लिमुल हुज्जाज
📖किताबुल मसाइल में से खुलासा

👆🏻ये मेसेज आप के कोई ताल्लुक़ वाला हज को गया हो तो उसे ज़रूर भेजें, हो सकता है के इसे पढ़कर उस को हज में सहूलत हो जाये.
و الله اعلم بالصواب

🌙 ७ जिल्हिज्जाह १४३९ हिज़री

✏Mufti Imran Ismail Memon
🕌Ustaze daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

📲💻
http://aajkasawal.page.tl
http://aajkasawalhindi.page.tl
http://www.aajkasawalgujarati.page.tl

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...