Thursday, November 2, 2017

UMMEDWAR KI JANIB SE PAISE AUR NASHTE KA HUKM*

*UMMEDWAR KI JANIB SE PAISE AUR NASHTE KA HUKM*

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1168⭕

Aaj-kal vote dene walon ummedwar ki janib se paise -nashta, khana diya jata hai is ke khane ke baad fir un ko vote dene Ka kiya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

Vote dena ye gawahee hai is baat ki ke Is halqe ke jitne ummedwar hai un me ye sakhsh us auhde ka sab Se laiq aur munasib hai,

lihaza paisa Ya khana khakar dusre laiq aur zayada munasib ummedwar ko chhodkar Is gair laiq ya kam munasib aadmi ko vote dene me double gunah hai.

ek rishwat lene ka. chunanche rishwat lenewale par hadees shareef me laanat (allah ka gazab,fitkar, jannat se mahroomee) ki waeed aayee hai.

Dusra jhootee gawahee dena ko Jis ko Allah taala ne shirk ke baraabar qaraar diya hai.

lihaza aese paise aur khanon Se bahot bachna chahiye.

KITABUL FATAWA 6/263 SE MAKHOOZ

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

💻📱
http://www.aajkasawal.page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/bayanatpost

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...