Saturday, November 11, 2017

UMMEDWAR BANNE KA SHAUK*

*UMMEDWAR BANNE KA SHAUK*

⭕AAJ KA SAWAL NO.1176⭕

Aaj kal logon ko ummedwar (candidate)  banne ka aur uski ticket lene ka bahut shauk paida ho gaya hai shareat me ummedwar ki kya haisiyat hai?

Aur uski zemmedari kahaan tak ki hai?

🔵JAWAB🔵

Mufti e a'azam Hazrat Mufti Muhammad shafee rahmatullahi alayhi likhte hai ke

kisi party ki membari ke chunaw Voting ke liye jo ummedwar ki haisiyst se khada ho woh puri millat ke samne do cheezon ka dawa karne wala hai
ek yeh ke woh is kaam ki ahliyat rakhta hai jiska ummedwar hai
dusre yeh ke woh sachchayi aur amanat daari se us kaam ko anjam dega

Ab agar waqayi me woh apne is dawe me sachcha hai ya'ani qabiliyat bhi rakhta hai aur qaum ki khidmat ke jazbe se is maidan me aaya hai to iska yeh amal kisi had tak durust hai

Lekin behtar tareeqa uska yeh hai ke koi shakhs khud dawedar bankar khada na ho balke musalman ki ek jamaat us ko is kaam ka ahal samajh kar use naamzad-tay kar de khud uhda mangne me Allah ki madad hat jaati hai

Aur jis shakhs me is kaam ki ahliyat salahiyat hi nahin hai woh agar ummedwar ban kar khada ho to qaum ka gaddar aur khiyanat karnewala hai uska voting me kaamiyab hona mulk wa millat ki kharabi ka sabab to baad me banega pehle woh khud gaddar aur khiyanat ka mujrim hokar azabe jahanam ka mustahiq ban jayega

Ab har woh shakhs jo kisi party ki membari ke liye khada hota hai agar usko kuchh aakhirat ki bhi fikr hai to is maidan me aane se pehle khud apna jaiza le le aur yeh samajh le ke is membari se pehle to uski zimmedari sirf apni zaat aur apne ahlo ayal hi tak mahdood thi kyun ke hadees me hai ke apne ahlo ayal ka zimmedar hai aur ameer apni puri qaum ka zimmedar hai

Ab kisi party ki membari ke baad Allah ki  jitni makhlooq ka talluq us party se wabasta hai un sab ki zimmedari ka bojh uski gardan par aata hai aur use duniya aur aakhirat me us zimmedari ke baare me sawal kiya jayega aur hisab liya jayega

Lihaza ummedwar banna ek bahut badi zimmedari hai jiska sahih nibhana wajib hai isliye yeh shauk ki cheez nahin hak balke darne ki aur door bhagne ki cheez hai.

📗JAWAHIRUL FUQAH 2/291

و الله اعلم بالصواب
✏Mufti Imran Ismail Memon hanfi

🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India

📲💻www. aajkasawal.Page.tl

Subscribe Our Channel
Www.youtube.com/IslamicGroup

No comments:

Post a Comment

AETIKAF KE MAKRUHAAT

*AETIKAF KE MAKRUHAAT* ⭕AAJ KA SAWAL NO.2101⭕ Aetikaaf kin cheezon se makrooh hota hai?  🔵JAWAB🔵 Aetikaf niche dee hui baton se makrooh ho...