*SAR KE BAAL KATWANE KA TAREEQAH*
⭕AAJ KA SAWAL NO.⭕
Sar ke baal katane ka kya tareeqa hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Sar Ke Bal Katane Me
Is Bat Ka Lihaz Rakhna
Zaruri He Ke Sar Ke Kuch
Hisse Ke Bal Katana Or
Kuch Hisse Ke Baqi Rakhna
Haram He,
Jaise: Sirf Samne Ke Bal
Katana Or Baki Chhor Dena
Ye Haram He,
Magribi Tehzib ( Western
civilization ) Ki Jal Me
Fasne Walo Me Mukhtalif
qism Ke Balo (Hair Styles)
Ka Riwaj He, Jinme Screw
Cut, Buzz Cut, Under Cut
Wagerah Shamil He, To Yad
Rakhe Ke Ye Sab Tariqe
Haram Or Allah Ki Narazgi
Ka Sabab He, Bal Katane Ka
Durust Tariqa Ye He Ke Har
Taraf Se Barabar Bal Kataye
Jaye, Chhote Bade Na Ho
Ya Fir Pura Halaq
(Mundwana) Karaya Jaye,
Orato Ko Bal Katana Bilkul
Hi Jaiz Nahi, Agarche
Shohar Hukm Kare Tab Bhi
Durust Nahi, Ha Koi Bimari
Paida Hojaye Jiski Wajah
Se Katwana Zaruri Hojaye,
To Katane Me Koi Haraj Nahi,
✏MUFTI BANDE ILAHI QURESHI
Khadim-e-Quran
Madresa Madinatul ilm
Gandevi
قطعت شعر راسھا اثمت و لعنت ، زاد فی البزازیة : و ان کان باذن الزوج ؛ لانہ لا طاعۃ لمخلوق فی معصیۃ الخالق... الخ (رد المحتار ، 6/407 ، باب الحظر و الاباحۃ)
نیز دیکھیں (البحر الرائق ، کتاب الکراھیۃ 8/375)
و الله اعلم بالصواب
✏TASDEEQ Mufti Imran Ismail Memon hanfi
🕌Ustaad e daarul uloom
Rampura surat, Gujarat, India
📲💻www. aajkasawal.Page.tl
No comments:
Post a Comment